Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husain hi tha jo pyasa uTha furaat se wo

Musavvir Sabzwari

husain hi tha jo pyasa uTha furaat se wo

Musavvir Sabzwari

MORE BYMusavvir Sabzwari

    husain thā jo pyāsā uThā furāt se vo

    lahūluhān samundar thā apnī zaat se vo

    fasīl-e-shab kamīñ-gāheñ us pe sab raushan

    na jaane guzregā kab jā-e-vārdāt se vo

    kiyā na tark-e-marāsim pe ehtijāj us ne

    ki jaise guzre kisī manzil-e-najāt se vo

    parinde lauT rahe haiñ khule baseroñ meñ

    gayā hai ghar se bhī laḌ kar guzishta raat se vo

    na jaane kyā haiñ ye dīmak-zada tahrīreñ

    Darā Darā hai bosīda kāġhzāt se vo

    husain hi tha jo pyasa uTha furaat se wo

    lahuluhan samundar tha apni zat se wo

    fasil-e-shab ki kamin-gahen us pe sab raushan

    na jaane guzrega kab ja-e-wardat se wo

    kiya na tark-e-marasim pe ehtijaj us ne

    ki jaise guzre kisi manzil-e-najat se wo

    parinde lauT rahe hain khule baseron mein

    gaya hai ghar se bhi laD kar guzishta raat se wo

    na jaane kya hain ye dimak-zada si tahriren

    Dara Dara sa hai bosida kaghzat se wo

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    husain hi tha jo pyasa uTha furaat se wo Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now