Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn achchha hai mohammad ka kamal achchha hai

Mohammad Yusuf Rasikh

husn achchha hai mohammad ka kamal achchha hai

Mohammad Yusuf Rasikh

MORE BYMohammad Yusuf Rasikh

    husn achchhā hai mohammad kamāl achchhā hai

    jo ḳhudā ko bhī hai pyārā vo jamāl achchhā hai

    bazm-e-kaunain murattab huī terī ḳhātir

    vaqt hai tere liye is meñ jo maal achchhā hai

    mujh se pūchhe to koī tere ġhulāmoñ uruuj

    bādshāhoñ se bhī rutbe meñ bilāl achchhā hai

    ġham uThāne hai aadat mirī tab-e-sānī

    maiñ to kahtā huuñ ki duniyā meñ malāl achchhā hai

    qissa-e-tūr se vāqif hai zamāna saarā

    koī kis muñh se kahe shauq-e-jamāl achchhā hai

    bazm meñ dekh ke hasrat se kisī ko chup huuñ

    dar-haqīqat yahī andāz-e-savāl achchhā hai

    jis meñ ik din bhī mayassar ho mulāqāt raat

    mere nazdīk to vo maah vo saal achchhā hai

    lutf detā hai mujhe terā tasavvur shab-e-ġham

    sach kahā karte haiñ achchhoñ ḳhayāl achchhā hai

    jab se dekhe haiñ tumhāre lab-o-abrū ham ne

    na kahā hai na kaheñge ki hilāl achchhā hai

    tujh se haT kar kahīñ paḌtī nahīñ merī nazar

    yuuñ to yūsuf bhī hone ko jamāl achchhā hai

    āshiqoñ ke liye kis kaam hai sabr-o-qarār

    jo tire ġham meñ rahe muztarib-e-hāl achchhā hai

    us ne dekhā nahīñ qāmat-e-zebā terā

    jo ye kahtā ho ki gulshan meñ nihāl achchhā hai

    phir vahī zikr hai arbāb-e-karam 'rāsiḳh'

    ham samajhte haiñ ye andāz-e-savāl achchhā hai

    husn achchha hai mohammad ka kamal achchha hai

    jo KHuda ko bhi hai pyara wo jamal achchha hai

    bazm-e-kaunain murattab hui teri KHatir

    waqt hai tere liye is mein jo mal achchha hai

    mujh se puchhe to koi tere ghulamon ka uruj

    baadshahon se bhi rutbe mein bilal achchha hai

    gham uThane ki hai aadat meri tab-e-sani

    main to kahta hun ki duniya mein malal achchha hai

    qissa-e-tur se waqif hai zamana sara

    koi kis munh se kahe shauq-e-jamal achchha hai

    bazm mein dekh ke hasrat se kisi ko chup hun

    dar-haqiqat yahi andaz-e-sawal achchha hai

    jis mein ek din bhi mayassar ho mulaqat ki raat

    mere nazdik to wo mah wo sal achchha hai

    lutf deta hai mujhe tera tasawwur shab-e-gham

    sach kaha karte hain achchhon ka KHayal achchha hai

    jab se dekhe hain tumhaare lab-o-abru hum ne

    na kaha hai na kahenge ki hilal achchha hai

    tujh se haT kar kahin paDti hi nahin meri nazar

    yun to yusuf ka bhi hone ko jamal achchha hai

    aashiqon ke liye kis kaam ka hai sabr-o-qarar

    jo tere gham mein rahe muztarib-e-haal achchha hai

    us ne dekha hi nahin qamat-e-zeba tera

    jo ye kahta ho ki gulshan mein nihaal achchha hai

    phir wahi zikr hai arbab-e-karam ka 'rasiKH'

    hum samajhte hain ye andaz-e-sawal achchha hai

    Source:

    Auraq-e-Pareshan (Pg. 96)

    • Author: Mohammad Yusuf Rasikh
      • Publisher: Mohammad Yusuf Rasikh
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now