Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn aur barsar-e-paikar KHuda KHair kare

Riyazat Ali Shaiq

husn aur barsar-e-paikar KHuda KHair kare

Riyazat Ali Shaiq

MORE BYRiyazat Ali Shaiq

    husn aur barsar-e-paikār ḳhudā ḳhair kare

    aap ke haath meñ talvār ḳhudā ḳhair kare

    mujh ko Dar hai ki na ban jaa.e qayādat sabab

    aap ke ishq iqrār kiyā hai ham ne

    aap ke ishq iqrār kiyā hai ham ne

    ham haiñ aur marhala-e-dār ḳhudā ḳhair kare

    aa.e the ham tire dīdār hasrat le kar

    ab haiñ kuchh aur āsār ḳhudā ḳhair kare

    vo jo badnām rahe rāhzanī meñ barsoñ

    haiñ vahī qāfila-sālār ḳhudā ḳhair kare

    koī duniyā meñ nahīñ tere sivā ai 'shā.eq'

    jins-e-ulfat ḳharīdār ḳhudā ḳhair kare

    husn aur barsar-e-paikar KHuda KHair kare

    aap ke hath mein talwar KHuda KHair kare

    mujh ko Dar hai ki na ban jae qayaadat ka sabab

    aap ke ishq ka iqrar kiya hai hum ne

    aap ke ishq ka iqrar kiya hai hum ne

    hum hain aur marhala-e-dar KHuda KHair kare

    aae the hum tere didar ki hasrat le kar

    ab hain kuchh aur hi aasar KHuda KHair kare

    wo jo badnam rahe rahzani mein barson

    hain wahi qafila-salar KHuda KHair kare

    koi duniya mein nahin tere siwa ai 'shaeq'

    jins-e-ulfat ka KHaridar KHuda KHair kare

    Source:

    Nazr-e-Watan (Pg. 156)

    • Author: Riyazat Ali Shaiq
      • Edition: 2003
      • Publisher: Raziya Begum
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now