Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn bhi la-zawal hai pyare

Khalish Rifai

husn bhi la-zawal hai pyare

Khalish Rifai

MORE BYKhalish Rifai

    husn bhī lā-zavāl hai pyāre

    ishq bhī be-misāl hai pyāre

    haram-o-dair meñ kalīsā meñ

    terā husn-e-jamāl hai pyāre

    tujh ko bhūleñ ye ho nahīñ saktā

    terā har dam ḳhayāl hai pyāre

    toḌ mat dil ā.īna is meñ

    terā aks-e-jamāl hai pyāre

    aa bhī mujh ko be-qarār na kar

    zindagī savāl hai pyāre

    kyā ḳhalish hai 'ḳhalish' mohabbat

    ab to jiinā muhāl hai pyāre

    husn bhi la-zawal hai pyare

    ishq bhi be-misal hai pyare

    haram-o-dair mein kalisa mein

    tera husn-e-jamal hai pyare

    tujh ko bhulen ye ho nahin sakta

    tera har dam KHayal hai pyare

    toD mat dil ka aaina is mein

    tera aks-e-jamal hai pyare

    aa bhi ja mujh ko be-qarar na kar

    zindagi ka sawal hai pyare

    kya KHalish hai 'KHalish' mohabbat ki

    ab to jina muhaal hai pyare

    Source:

    Nawa-e-Batin (Pg. 81)

    • Author: Khalish Rifai
      • Publisher: Faizan Publications, Karnatak
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now