husn-e-jaanan tha baam par tanha
husn-e-jānāñ thā baam par tanhā
saare 'ālam ko lauT kar tanhā
zindagī ke qimār-ḳhāne meñ
ḳhud ko paayā hai kis qadar tanhā
saath sayyāre chal nahīñ paa.e
zer-e-gardūñ rahā qamar tanhā
sham' bhī saath us ke jaltī hai
jo sulagtā hai raat bhar tanhā
koī armāñ nahīñ rahā baaqī
tirī yādoñ kā hai asar tanhā
kab kisī shai kī aarzū kī hai
tujh pe shaidā rahī nazar tanhā
bejā ḳhvāhish kā murtakib ho kar
ziist meñ bas rahā bashar tanhā
itnā sīkhā hai chāñd tāroñ se
saath rah kar kareñ safar tanhā
har taraf aa.ine meñ maiñ hī thā
'umr guzrī hai is qadar tanhā
'shād' is zindagī kā bas tujh ko
bojh Dhonā hai 'umr bhar tanhā
husn-e-jaanan tha baam par tanha
sare 'alam ko lauT kar tanha
zindagi ke qimar-KHane mein
KHud ko paya hai kis qadar tanha
sath sayyare chal nahin pae
zer-e-gardun raha qamar tanha
sham' bhi sath us ke jalti hai
jo sulagta hai raat bhar tanha
koi arman nahin raha baqi
teri yaadon ka hai asar tanha
kab kisi shai ki aarzu ki hai
tujh pe shaida rahi nazar tanha
beja KHwahish ka murtakib ho kar
zist mein bas raha bashar tanha
itna sikha hai chand taron se
sath rah kar karen safar tanha
har taraf aaine mein main hi tha
'umr guzri hai is qadar tanha
'shad' is zindagi ka bas tujh ko
bojh Dhona hai 'umr bhar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.