Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn-e-sad-rang se firdaus ba-daman nikla

Munawwar Lakhnavi

husn-e-sad-rang se firdaus ba-daman nikla

Munawwar Lakhnavi

MORE BYMunawwar Lakhnavi

    husn-e-sad-rañg se firdaus ba-dāmāñ niklā

    ham ne jis phuul ko dekhā vo gulistāñ niklā

    ho ga.e dād-talab aur balāoñ meñ asiir

    hashr ik silsila-e-zulf-e-pareshāñ niklā

    aur kyā shai hai ye me'rāj-e-mohabbat ke sivā

    aarzū aap ho kar mirā armāñ niklā

    ḳhaak meñ gardish-e-daurāñ ne milāyā mujh ko

    aur is par bhī maiñ sar-halqa-e-daurāñ niklā

    uf re ye jazba-e-ḳhuddār 'munavvar' numūd

    ik 'ajab shaan shā'ir ye suḳhan-dāñ niklā

    husn-e-sad-rang se firdaus ba-daman nikla

    hum ne jis phul ko dekha wo gulistan nikla

    ho gae dad-talab aur balaon mein asir

    hashr ek silsila-e-zulf-e-pareshan nikla

    aur kya shai hai ye me'raj-e-mohabbat ke siwa

    aarzu aap ki ho kar mera arman nikla

    KHak mein gardish-e-dauran ne milaya mujh ko

    aur is par bhi main sar-halqa-e-dauran nikla

    uf re ye jazba-e-KHuddar 'munawwar' ki numud

    ek 'ajab shan ka sha'ir ye suKHan-dan nikla

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now