Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn-e-shah-e-laulak jo chamka shab-e-mearaj

Abdul Halim Sharar

husn-e-shah-e-laulak jo chamka shab-e-mearaj

Abdul Halim Sharar

MORE BYAbdul Halim Sharar

    husn-e-shah-e-laulāk jo chamkā shab-e-me.arāj

    jalvoñ se nabī sub.h-e-tajallī shab-e-me.arāj

    kyā ḳhuub jamā vasl naqsha shab-e-me.arāj

    matlūb nayā tālib-e-shaidā shab-e-me.arāj

    paayā na taqarrub kisī maḳhlūq ne aisā

    jaisā ki milā shaah ko rutba shab-e-me.arāj

    tālib thā ḳhudā banda-e-mahbūb apne

    mehmān-e-ḳhudā nūr-e-ḳhudā thā shab-e-me.arāj

    ganjīna-e-rahmat se habīb-e-azalī ko

    kyā kyā nahīñ allāh ne baḳhshā shab-e-me.arāj

    tā-der rahī tālib-o-mtlūb meñ qurbat

    dil bhar ke maza vasl luuTā shab-e-me.arāj

    kānoñ ne sunā jo kabhī kānoñ na sunā thā

    āñkhoñ ne na dekhā thā jo dekhā shab-e-me.arāj

    aalam ko kiyā mast mai-e-husn-e-azal ne

    be-kār rahā sāġhar-o-mīnā shab-e-me.arāj

    nālain mubārak huā faḳhr jo hāsil

    bas jhuum gayā arsh-e-mua.allā shab-e-me.arāj

    allāh dīdār mohammad shafā.at

    'mā.il' ko milī hashr ke din shab-e-me.arāj

    husn-e-shah-e-laulak jo chamka shab-e-mearaj

    jalwon se nabi subh-e-tajalli shab-e-mearaj

    kya KHub jama wasl ka naqsha shab-e-mearaj

    matlub naya talib-e-shaida shab-e-mearaj

    paya na taqarrub kisi maKHluq ne aisa

    jaisa ki mila shah ko rutba shab-e-mearaj

    talib tha KHuda banda-e-mahbub ka apne

    mehman-e-KHuda nur-e-KHuda tha shab-e-mearaj

    ganjina-e-rahmat se habib-e-azali ko

    kya kya nahin allah ne baKHsha shab-e-mearaj

    ta-der rahi talib-o-mtlub mein qurbat

    dil bhar ke maza wasl ka luTa shab-e-mearaj

    kanon ne suna jo kabhi kanon na suna tha

    aankhon ne na dekha tha jo dekha shab-e-mearaj

    aalam ko kiya mast mai-e-husn-e-azal ne

    be-kar raha saghar-o-mina shab-e-mearaj

    nalain mubarak ka hua faKHr jo hasil

    bas jhum gaya arsh-e-mualla shab-e-mearaj

    allah ka didar mohammad ki shafaat

    'mail' ko mili hashr ke din ya shab-e-mearaj

    Source:

    Firdaus Ka Gajra (Pg. 144)

    • Author: Hafiz Faizullah Beg
      • Publisher: Abulolai Press, Aagra
      • Year of Publication: 1893
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now