Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn-e-tadbir ka moajiza dekhiye

Jurm Mohammadabadi

husn-e-tadbir ka moajiza dekhiye

Jurm Mohammadabadi

MORE BYJurm Mohammadabadi

    husn-e-tadbīr mo.ajiza dekhiye

    kaam himmat se le kar zarā dekhiye

    aap aur ham se iz.hār-e-lutf-o-karam

    aa.ina dekhiye aa.inā dekhiye

    āshiyāne buniyād rakkhegā phir

    pahle bāġh-e-jahāñ havā dekhiye

    aag se khelne ko patañgā baḌhā

    haisiyat dekhiye hauslā dekhiye

    jab kahā hai to jalva dikhā.eñge vo

    saañs jab tak chale rāsta dekhiye

    kuchh idhar bhī haiñ ummīd-vār-e-karam

    mehrbāñ is taraf bhī zarā dekhiye

    jurm-e-zikr-e-vafā par vo kahne lagā

    ke anjām-e-ahl-e-vafā dekhiye

    husn-e-tadbir ka moajiza dekhiye

    kaam himmat se le kar zara dekhiye

    aap aur hum se izhaar-e-lutf-o-karam

    aaina dekhiye aaina dekhiye

    aashiyane ki buniyaad rakkhega phir

    pahle bagh-e-jahan ki hawa dekhiye

    aag se khelne ko patanga baDha

    haisiyat dekhiye hausla dekhiye

    jab kaha hai to jalwa dikhaenge wo

    sans jab tak chale rasta dekhiye

    kuchh idhar bhi hain ummid-war-e-karam

    mehrban is taraf bhi zara dekhiye

    jurm-e-zikr-e-wafa par wo kahne laga

    ja ke anjam-e-ahl-e-wafa dekhiye

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 67)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now