Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn-e-taKHil ka paikar Thahra

Akbar Kazmi

husn-e-taKHil ka paikar Thahra

Akbar Kazmi

MORE BYAkbar Kazmi

    husn-e-taḳh.īl paikar Thahrā

    jo mire dard mehvar Thahrā

    rang dikhlā.e havāoñ ne bahut

    shauq zaḳhmoñ payambar Thahrā

    jaane kis ghar meñ jalī haiñ sham.eñ

    jaane vo kis muqaddar Thahrā

    kaun ehsās tah tak pahuñche

    kaun is dasht sarvar Thahrā

    maiñ sitāroñ qabā pahnūñgā

    agar shaam manzar Thahrā

    log ghabrā.e hue phirte haiñ

    kaun is daur rahbar Thahrā

    'kāzmī' sabr o vafā shā.ir

    goyā ḳhvāboñ samundar Thahrā

    husn-e-taKHil ka paikar Thahra

    jo mere dard ka mehwar Thahra

    rang dikhlae hawaon ne bahut

    shauq zaKHmon ka payambar Thahra

    jaane kis ghar mein jali hain shamen

    jaane wo kis ka muqaddar Thahra

    kaun ehsas ki tah tak pahunche

    kaun is dasht ka sarwar Thahra

    main sitaron ki qaba pahnunga

    tu agar sham ka manzar Thahra

    log ghabrae hue phirte hain

    kaun is daur ka rahbar Thahra

    'kazmi' sabr o wafa ka shair

    goya KHwabon ka samundar Thahra

    Source:

    Muntakhab Ghazlein-1982 (Pg. 36)

      • Publisher: Zahid Malik
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now