Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn hai is bar pure jalwa-samani ke sath

Parwez Rahmani

husn hai is bar pure jalwa-samani ke sath

Parwez Rahmani

MORE BYParwez Rahmani

    husn hai is baar puure jalva-sāmānī ke saath

    aa.ine TuuTe haiñ pahlī baar hairānī ke saath

    aur chehra nikāleñ surḳhiyāñ dhānī ke saath

    ab ke sāvan kaash barse aag bhī paanī ke saath

    kab mire sar zarūrat pesh aa jaa.e use

    kūcha kūcha phir rahā huuñ dushman-e-jānī ke saath

    raat aatī hai to tanhā.ī lipaT kar jaane kyoñ

    ro diyā kartī hai mere ghar vīrānī ke saath

    muskurāne hunar sīkhā hai jab se dosto

    mushkiloñ hal nikal aayā hai āsānī ke saath

    mere hoñToñ par sisaktī ḳhāmushī ko dekh kar

    har parinda pesh aatā hai ḳhush-ilhānī ke saath

    ġham duniyā bhī bil-āḳhir luT ga.ī ḳhushiyoñ ke baad

    hādisa ye bhī huā 'parvez'-rahmānī ke saath

    husn hai is bar pure jalwa-samani ke sath

    aaine TuTe hain pahli bar hairani ke sath

    aur hi chehra nikalen surKHiyan dhani ke sath

    ab ke sawan kash barse aag bhi pani ke sath

    kab mere sar ki zarurat pesh aa jae use

    kucha kucha phir raha hun dushman-e-jaani ke sath

    raat aati hai to tanhai lipaT kar jaane kyon

    ro diya karti hai mere ghar ki virani ke sath

    muskurane ka hunar sikha hai jab se dosto

    mushkilon ka hal nikal aaya hai aasani ke sath

    mere honTon par sisakti KHamushi ko dekh kar

    har parinda pesh aata hai KHush-ilhani ke sath

    gham ki duniya bhi bil-aKHir luT gai KHushiyon ke baad

    hadisa ye bhi hua 'parwez'-rahmani ke sath

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now