hawas-o-hosh ka ye khel bhi zaruri hai
havās-o-hosh kā ye khel bhī zarūrī hai
par apnī āḳhirī manzil to lā-shu'ūrī hai
'ajab nahīñ ki ham ab ke bhī tai na kar paa.eñ
hamāre biich meñ jo haath bhar kī duurī hai
kisī maqām tak is ko vo aa ke le jaa.e
jise bhī lagtā hai ye dāstāñ adhūrī hai
amīr-e-shahr kī haamī na bharne vaalo suno
ḳhamosh rahnā tumhārā bhī jī-huzūrī hai
udaas log samajhte nahīñ haiñ kyoñ ye baat
udaas logoñ kā honā bahut zarūrī hai
hawas-o-hosh ka ye khel bhi zaruri hai
par apni aaKHiri manzil to la-shu'uri hai
'ajab nahin ki hum ab ke bhi tai na kar paen
hamare bich mein jo hath bhar ki duri hai
kisi maqam tak is ko wo aa ke le jae
jise bhi lagta hai ye dastan adhuri hai
amir-e-shahr ki hami na bharne walo suno
KHamosh rahna tumhaara bhi ji-huzuri hai
udas log samajhte nahin hain kyon ye baat
udas logon ka hona bahut zaruri hai
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 65)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.