Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn jo rang KHizan mein hai wo pahchan gaya

Saba Akbarabadi

husn jo rang KHizan mein hai wo pahchan gaya

Saba Akbarabadi

MORE BYSaba Akbarabadi

    husn jo rañg ḳhizāñ meñ hai vo pahchān gayā

    fasl-e-gul mire dil se tirā armān gayā

    ḳhudāvand-e-mohabbat hai maiñ pahchān gayā

    dil ziddī tirī nazroñ kahā maan gayā

    ā.ina-ḳhāna se hotā huā hairān gayā

    ḳhud-farāmosh huā jo tumheñ pahchān gayā

    ab to mai-ḳhāna-e-ulfat meñ chalā aayā huuñ

    us se kyā bahs rahā merā īmān gayā

    apne dil se bhī chhupāne thī koshish kyā kyā

    vo mirā hāl-e-mohabbat jise jaan gayā

    hai yahī hukm to ta.amīl kareñge sāhab

    na kareñge tumheñ ham yaad jo dil maan gayā

    chhin gayā kaif bahakte hue kam-zarfoñ meñ

    mai-kade se bhī gayā maiñ to pareshān gayā

    na milā chain kisī haal meñ majbūroñ ko

    muskurā.e to har ik shaḳhs burā maan gayā

    apnī rau meñ jo bahā.e liye jaatā thā hameñ

    vo zamāna vo tamannāoñ tūfān gayā

    jhuk ke chūmī jo zamīñ us galī ham ne

    kufr chīḳhā ki sambhālo mirā īmān gayā

    tīliyāñ ḳhuun se tar dekhīñ qafas jo 'sabā'

    apnī sūkhī huī āñkhoñ pe mirā dhyān gayā

    husn jo rang KHizan mein hai wo pahchan gaya

    fasl-e-gul ja mere dil se tera arman gaya

    tu KHudawand-e-mohabbat hai main pahchan gaya

    dil sa ziddi teri nazron ka kaha man gaya

    aaina-KHana se hota hua hairan gaya

    KHud-faramosh hua jo tumhein pahchan gaya

    ab to mai-KHana-e-ulfat mein chala aaya hun

    us se kya bahs raha ya mera iman gaya

    apne dil se bhi chhupane ki thi koshish kya kya

    wo mera haal-e-mohabbat jise tu jaan gaya

    hai yahi hukm to tamil karenge sahab

    na karenge tumhein hum yaad jo dil man gaya

    chhin gaya kaif bahakte hue kam-zarfon mein

    mai-kade se bhi gaya main to pareshan gaya

    na mila chain kisi haal mein majburon ko

    muskurae to har ek shaKHs bura man gaya

    apni rau mein jo bahae liye jata tha hamein

    wo zamana wo tamannaon ka tufan gaya

    jhuk ke chumi jo zamin us ki gali ki hum ne

    kufr chiKHa ki sambhaalo mera iman gaya

    tiliyan KHun se tar dekhin qafas ki jo 'saba'

    apni sukhi hui aankhon pe mera dhyan gaya

    Source:

    Mere Hisse Ki Roshni (Pg. 175)

    • Author: Saba Akbarabadi
      • Edition: 2007
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now