Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn ka talib agar hai ishq ke aazar khinch

Shah Akbar Danapuri

husn ka talib agar hai ishq ke aazar khinch

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    husn tālib agar hai ishq ke āzār khīñch

    sadma-e-hijr-e-masīhā ai dil-e-bīmār khīñch

    jāñ-nisāroñ par na zālim har ghaḌī talvār khīñch

    ḳhuun se apne vafādāroñ ke haath ai yaar khīñch

    ruḳh par āñchal na parda ai parī-ruḳhsār khīñch

    dīda-e-ushshāq par ai gul na yuuñ dīvār khīñch

    mard-e-maidān-e-mohabbat hai to ai rustam nikal

    kuchh sakat ho to kamān-e-abrū-e-ḳhamdār khīñch

    āshiq-e-rū-e-butāñ ko nighat-e-gul se ġharaz

    ho sake to ai sabā itr-e-gul-e-ruḳhsār khīñch

    hai jo har sūrat meñ manzūr us nazzāra tujhe

    ġhāfil āñkhoñ se apne parda-e-pindār khīñch

    hashr ko arsa hai kyā is va.ade ko bhī dekh leñ

    ḳhair thoḌī aur iizā ai dil-e-bīmār khīñch

    der se hāzir haiñ qātil ma.arka meñ kushtanī

    pesh-o-pas kis baat hai myaan se talvār khīñch

    saath ġhairoñ ke na sair-e-chaman ko ai hasīn

    mujh ko kāñToñ par na ai ġhairat-e-gul-zār khīñch

    ho gayā kyā sāya-e-bāl-e-humā saaya tirā

    is qadar duur aap ko mujh se na ai dīvār khīñch

    sab pe yaksāñ chashm-e-rahmat terī saaqī chāhiye

    is taraf bhī to nigāh-e-nāz talvār khīñch

    sūrat-e-tasvīr hairāñ ho gayā hai aap vo

    kyā kahūñ maanī se maiñ tasvīr-e-rū-e-yār khīñch

    ai mirī taqdīr ab le chal madīne taraf

    jazba-e-dil jānib-e-bat.hā mujhe ik baar khīñch

    hūreñ le jā.eñgī pairāhan basāne ke liye

    itr ḳhāk-e-pāk-e-taiba to ai attār khīñch

    ai zuleḳhā hai ye ādāb-e-mohabbat se ba-sad

    shahr-e-kan.ān se na yūsuf ko sū-e-bāzār khīñch

    ham se dīvānoñ hai jāgīr meñ taiba dasht

    ai junūñ majnūñ ko jānib-e-kohsār khīñch

    hai javār-e-hazrat-e-mahbūb-e-haq 'akbar'

    jānib-e-jannat na ai rizvān ise zinhār khīñch

    husn ka talib agar hai ishq ke aazar khinch

    sadma-e-hijr-e-masiha ai dil-e-bimar khinch

    jaan-nisaron par na zalim har ghaDi talwar khinch

    KHun se apne wafadaron ke hath ai yar khinch

    ruKH par aanchal ka na parda ai pari-ruKHsar khinch

    dida-e-ushshaq par ai gul na yun diwar khinch

    mard-e-maidan-e-mohabbat hai to ai rustam nikal

    kuchh sakat ho to kaman-e-abru-e-KHamdar khinch

    aashiq-e-ru-e-butan ko nighat-e-gul se gharaz

    ho sake to ai saba itr-e-gul-e-ruKHsar khinch

    hai jo har surat mein manzur us ka nazzara tujhe

    ghafil aankhon se tu apne parda-e-pindar khinch

    hashr ko arsa hai kya is wade ko bhi dekh len

    KHair thoDi aur iza ai dil-e-bimar khinch

    der se hazir hain qatil marka mein kushtani

    pesh-o-pas kis baat ka hai myan se talwar khinch

    sath ghairon ke na ja sair-e-chaman ko ai hasin

    mujh ko kanTon par na tu ai ghairat-e-gul-zar khinch

    ho gaya kya saya-e-baal-e-huma saya tera

    is qadar dur aap ko mujh se na ai diwar khinch

    sab pe yaksan chashm-e-rahmat teri saqi chahiye

    is taraf bhi to nigah-e-naz ki talwar khinch

    surat-e-taswir hairan ho gaya hai aap wo

    kya kahun mani se main taswir-e-ru-e-yar khinch

    ai meri taqdir ab le chal madine ki taraf

    jazba-e-dil jaanib-e-batha mujhe ek bar khinch

    huren le jaengi pairahan basane ke liye

    itr KHak-e-pak-e-taiba ka to ai attar khinch

    ai zuleKHa hai ye aadab-e-mohabbat se ba-sad

    shahr-e-kanan se na yusuf ko su-e-bazar khinch

    hum se diwanon ki hai jagir mein taiba ka dasht

    ai junun majnun hi ko tu jaanib-e-kohsar khinch

    hai jawar-e-hazrat-e-mahbub-e-haq 'akbar' ki ja

    jaanib-e-jannat na ai rizwan ise zinhaar khinch

    Source:

    Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 120)

    • Author: Shah Akbar Danapuri
      • Publisher: Matba Shaukat Shahjahani, Agra
      • Year of Publication: 1896
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now