Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn ke danke ki dhum jag mein paDi ja-ba-ja

Obaidullah Khan Mubtala

husn ke danke ki dhum jag mein paDi ja-ba-ja

Obaidullah Khan Mubtala

MORE BYObaidullah Khan Mubtala

    husn ke dañke dhuum jag meñ paḌī jā-ba-jā

    kyuuñ na baje dil mane ishq naubat sadā

    āshiq-e-be-jāñ ne aaj dil satī ai rūh-baḳhsh

    tujh kuuñ kahā dekh kar jaan bayā marhabā

    bulbul-e-shīrāz ne chhoḌ diyā ishq-e-gul

    ġhuncha-dahan ko sunā baat meñ jab ḳhush-adā

    sarv huā hai khaḌā terī tavāzo.a katīñ

    jab siiñ sunā baaġh meñ qad ko tire dil-rubā

    terā daras paane ko dauḌ kar aayā chakor

    buujh tire chehre ko ġhairat-e-badruddujā

    shauq nāzuk daraḳht ḳhushk huā dard suuñ

    husn ke bustāñ meñ chup se huā bevafā

    baaġh meñ laalā kahe dekh ke nargis taraf

    chashm bīmār ho kyūñki khaḌā be-asā

    laaf na maar ai raqīb majlis-e-ushshāq meñ

    dil mane begāna hai tujh satī vo āshnā

    phuul gayā sūñgh maiñ tere badan so baas

    ho ke tire paas jab mujh kane aayā sabā

    bas-ki tire aane baaġh mane thī ḳhabar

    shauq se be-iḳhtiyār gul ne kahā hal-atā

    mauj-e-havādis satī mujh kuuñ nahīñ ġham kabhī

    kashtī-e-hastī upar bas-ki hai nāḳhudā

    taan tire muñh se sun vajd kare tansen

    pakḌe apas kaan kuuñ jab vo sune kānhrā

    yaad suuñ terī jo dil ḳhālī-o-ġhāfil hai nit

    us dil-e-be-hosh naam hai bait-ul-ḳhalā

    kūcha-e-sarbasta-e-zulf meñ hairāñ hove

    ishq-e-siyah-chashm jis hove rahnumā

    aañkh tirī sahar ko phande meñ de hiran kuuñ

    zulf tirī pech suuñ dil ko deve hai phañsā

    mujmar-e-sīna mane kyuuñ na jale jiyūñ sipand

    dil kuuñ lagī chaTpaTī jab se huā tuuñ judā

    ishq ke bīmār kuuñ kaam tabībāñ suuñ na.iiñ

    vasl tabrīd bin aur nahīñ hai davā

    haal mire dard pūchh kabhī aan kar

    lutf ke qānūn se mujh kuuñ milegī shifā

    terī kamar dekh kar dañg haiñ bārīk-bīñ

    kyuuñ na hove mū-ba-mū tujh pe fidā 'mubtalā'

    husn ke danke ki dhum jag mein paDi ja-ba-ja

    kyun na baje dil mane ishq ki naubat sada

    aashiq-e-be-jaan ne aaj dil sati ai ruh-baKHsh

    tujh kun kaha dekh kar jaan baya marhaba

    bulbul-e-shiraaz ne chhoD diya ishq-e-gul

    ghuncha-dahan ko suna baat mein jab KHush-ada

    sarw hua hai khaDa teri tawazoa katin

    jab sin suna bagh mein qad ko tere dil-ruba

    tera daras pane ko dauD kar aaya chakor

    bujh tere chehre ko ghairat-e-badrudduja

    shauq ka nazuk daraKHt KHushk hua dard sun

    husn ke bustan mein tu chup se hua bewafa

    bagh mein lala kahe dekh ke nargis taraf

    chashm ka bimar ho kyunki khaDa be-asa

    laf na mar ai raqib majlis-e-ushshaq mein

    dil mane begana hai tujh sati wo aashna

    phul gaya sungh main tere badan ki so bas

    ho ke tere pas jab mujh kane aaya saba

    bas-ki tere aane ki bagh mane thi KHabar

    shauq se be-iKHtiyar gul ne kaha hal-ata

    mauj-e-hawadis sati mujh kun nahin gham kabhi

    kashti-e-hasti upar bas-ki tu hai naKHuda

    tan tere munh se sun wajd kare tansen

    pakDe apas kan kun jab wo sune kanhra

    yaad sun teri jo dil KHali-o-ghafil hai nit

    us dil-e-be-hosh ka nam hai bait-ul-KHala

    kucha-e-sarbasta-e-zulf mein hairan howe

    ishq-e-siyah-chashm ka jis ka howe rahnuma

    aankh teri sahar ko phande mein de hiran kun

    zulf teri pech sun dil ko dewe hai phansa

    mujmar-e-sina mane kyun na jale jiyun sipand

    dil kun lagi chaTpaTi jab se hua tun juda

    ishq ke bimar kun kaam tabiban sun nain

    wasl ki tabrid bin aur nahin hai dawa

    haal mere dard ka puchh kabhi aan kar

    lutf ke qanun se mujh kun milegi shifa

    teri kamar dekh kar dang hain barik-bin

    kyun na howe mu-ba-mu tujh pe fida 'mubtala'

    Source:

    Dewan-e-mubtalaáEk Eham Go Shayar-Muqallid Wali (Pg. B-20 E-21)

      • Edition: 1996
      • Publisher: Noorul Hasan Hashmi
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now