Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn ke jalwe luTae teri ranai ne

Charkh Chinioti

husn ke jalwe luTae teri ranai ne

Charkh Chinioti

MORE BYCharkh Chinioti

    husn ke jalve luTā.e tirī ra.anā.ī ne

    raaz sab khol diye ek añgḌā.ī ne

    rañg bhar kar tirī tasvīr meñ jazb-e-ġham

    apnī tasvīr banā tire saudā.ī ne

    vasl-e-mahbūb tadbīr sujhā.ī mujh ko

    haq-parastī ne aqīdat ne jabīñ-sā.ī ne

    ham ne sochā thā ki bujh jā.eñge ġham ke sho.ale

    aa ke kuchh aur havā unheñ purvā.ī ne

    shorish-e-dahr ne begāna kiyā ḳhud se mujhe

    āgahī baḳhshī mujhe gosha-e-tanhā.ī ne

    ek ma.asūm se chehre pe ra.ūnat numūd

    haa.e kyā zulm kiyā ālam-e-barnā.ī ne

    gardish-e-vaqt ne maiḳhāne meñ dam toḌ diyā

    jaane kyā chiiz pilā tire sahbā.ī ne

    ruḳh tamāshe badal Daalā achānak aa kar

    ek ḳhush-chehra ḳhush-andāz tamāshā.ī ne

    charḳh aapas ke ta.alluq ye andāz bhī dekh

    kar diyā un ko bhī rusvā mirī rusvā.ī ne

    husn ke jalwe luTae teri ranai ne

    raaz sab khol diye ek hi angDai ne

    rang bhar kar teri taswir mein jazb-e-gham ka

    apni taswir bana di tere saudai ne

    wasl-e-mahbub ki tadbir sujhai mujh ko

    haq-parasti ne aqidat ne jabin-sai ne

    hum ne socha tha ki bujh jaenge gham ke shoale

    aa ke kuchh aur hawa di unhen purwai ne

    shorish-e-dahr ne begana kiya KHud se mujhe

    aagahi baKHshi mujhe gosha-e-tanhai ne

    ek masum se chehre pe raunat ki numud

    hae kya zulm kiya aalam-e-barnai ne

    gardish-e-waqt ne maiKHane mein dam toD diya

    jaane kya chiz pila di tere sahbai ne

    ruKH tamashe ka badal Dala achanak aa kar

    ek KHush-chehra KHush-andaz tamashai ne

    charKH aapas ke talluq ka ye andaz bhi dekh

    kar diya un ko bhi ruswa meri ruswai ne

    Source:

    Husn-e-sukhan (Pg. E-32 B-31)

    • Author: Charkh Chinioti
      • Edition: 1987
      • Publisher: Charkh Chinioti
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now