Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn ko dil mein chhupa kar dekho

Nasir Kazmi

husn ko dil mein chhupa kar dekho

Nasir Kazmi

MORE BYNasir Kazmi

    husn ko dil meñ chhupā kar dekho

    dhyān sham.a jalā kar dekho

    kyā ḳhabar koī dafīna mil jaa.e

    koī dīvār girā kar dekho

    fāḳhta chup hai baḌī der se kyuuñ

    sarv shāḳh hilā kar dekho

    kyuuñ chaman chhoḌ diyā ḳhushbū ne

    phuul ke paas to kar dekho

    nahr kyuuñ so ga.ī chalte chalte

    koī patthar girā kar dekho

    dil meñ betāb haiñ kyā kyā manzar

    kabhī is shahr meñ aa kar dekho

    in añdheroñ meñ kiran hai koī

    shab-e-zūd aañkh uThā kar dekho

    husn ko dil mein chhupa kar dekho

    dhyan ki shama jala kar dekho

    kya KHabar koi dafina mil jae

    koi diwar gira kar dekho

    faKHta chup hai baDi der se kyun

    sarw ki shaKH hila kar dekho

    kyun chaman chhoD diya KHushbu ne

    phul ke pas to ja kar dekho

    nahr kyun so gai chalte chalte

    koi patthar hi gira kar dekho

    dil mein betab hain kya kya manzar

    kabhi is shahr mein aa kar dekho

    in andheron mein kiran hai koi

    shab-e-zud aankh uTha kar dekho

    Source:

    Kulliyaat-e-Nasir Kazmi (Pg. 151)

    • Author: Nasir Kazmi
      • Edition: 1957
      • Publisher: Nasir Kazmi
      • Year of Publication: 1957
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now