Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn mein mil gaya sharab ka rang

Rubi Jha

husn mein mil gaya sharab ka rang

Rubi Jha

MORE BYRubi Jha

    husn meñ mil gayā sharāb rang

    uḌ gayā dekho mahtāb rang

    rang badlā zarā añdheroñ ne

    mar ga.ī aañkh le ke ḳhvāb rang

    soch kar un ko yuuñ khilā aariz

    sub.h-dam jaise āftāb rang

    vo hue duur ishq ḳhushk huā

    jaise panne meñ ho gulāb rang

    jis tarah DhūñDhtī hai aañkh tumheñ

    us meñ dikhtā hai iztirāb rang

    pūchhtī huuñ yahī zamāne se

    kaisā hotā hai yaar aab rang

    muskurātā hai mere chehre par

    aap ke husn-e-intiḳhāb rang

    husn mein mil gaya sharab ka rang

    uD gaya dekho mahtab ka rang

    rang badla zara andheron ne

    mar gai aankh le ke KHwab ka rang

    soch kar un ko yun khila aariz

    subh-dam jaise aaftab ka rang

    wo hue dur ishq KHushk hua

    jaise panne mein ho gulab ka rang

    jis tarah DhunDhti hai aankh tumhein

    us mein dikhta hai iztirab ka rang

    puchhti hun yahi zamane se

    kaisa hota hai yar aab ka rang

    muskuraata hai mere chehre par

    aap ke husn-e-intiKHab ka rang

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now