Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn se kam nahin martaba ishq ka

Nazim Sultanpuri

husn se kam nahin martaba ishq ka

Nazim Sultanpuri

MORE BYNazim Sultanpuri

    husn se kam nahīñ martaba ishq

    vo bhī sho.ala-badan ham bhī ātish-navā

    ik tabassum auqāt kyā thī magar

    aaj tak jheltā huuñ usī sazā

    pyaar ret par sarḳhushī mahal

    sāda-lauhī bhī ho ga.ī intihā

    the kabhī naġhma-e-mahfil-e-gul-ruḳhāñ

    aaj ham ho ga.e jañgaloñ sadā

    laao mar ke bhī dekheñ kisī raah meñ

    shāyad aa jaa.e yuuñ zindagī adā

    koī āñchal 'nāzim' na thā baḳht meñ

    varna aañsū the mere gul-e-be-bahā

    husn se kam nahin martaba ishq ka

    wo bhi shoala-badan hum bhi aatish-nawa

    ek tabassum ki auqat kya thi magar

    aaj tak jhelta hun usi ki saza

    pyar ki ret par sarKHushi ka mahal

    sada-lauhi ki bhi ho gai intiha

    the kabhi naghma-e-mahfil-e-gul-ruKHan

    aaj hum ho gae jangalon ki sada

    lao mar ke bhi dekhen kisi rah mein

    shayad aa jae yun zindagi ki ada

    koi aanchal hi 'nazim' na tha baKHt mein

    warna aansu the mere gul-e-be-baha

    Source:

    Harf-e-Aagahi (Pg. 74)

    • Author: Nazim Sultanpuri
      • Publisher: Suhail Ahmad Khan
      • Year of Publication: 1977
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now