Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

huk uThti hai mere qalb ki gahrai mein

Kaukab Zaki

huk uThti hai mere qalb ki gahrai mein

Kaukab Zaki

MORE BYKaukab Zaki

    huuk uThtī hai mire qalb gahrā.ī meñ

    us yaad aatī hai jab raat tanhā.ī meñ

    ab to do vaqt roTī bhī nahīñ miltī hai

    zindagī kaise kaTegī mirī mahñgā.ī meñ

    aaj aayā vo mire ghar to ye mahsūs huā

    māhtāb utrā ho jaise mirī añgnā.ī meñ

    merī āñkhoñ se nikal aa.e ḳhushī ke aañsū

    beTī ruḳhsat jo huī gūñjtī shahnā.ī meñ

    ghar meñ mehmāñ agar aa.eñ to ḳhushī hotī hai

    maiñ kasar kuchh nahīñ rakhtā huuñ pazīrā.ī meñ

    na to roTī mayassar hai na kapḌā na makāñ

    zindagī yuuñ bhī guzar jaatī hai kaThinā.ī meñ

    husn aisā hai ki ā.īne ko hairāñ kar de

    ik vafā kamī hai mire harjā.ī meñ

    kaise ash.ār meñ lā.egā ġhazal ḳhushbū

    vo jo masrūf hai bas qāfiya paimā.ī meñ

    dāḳhila merā mamnūa hai gulshan meñ 'zakī'

    jab ki ḳhuuñ maiñ ne diyā baaġh zebā.ī meñ

    ai 'zakī' maiñ ne bhī ye ḳhvāh nahīñ samjhā thā

    un sāzish rahī shāmil mirī paspā.ī meñ

    huk uThti hai mere qalb ki gahrai mein

    us ki yaad aati hai jab raat ki tanhai mein

    ab to do waqt ki roTi bhi nahin milti hai

    zindagi kaise kaTegi meri mahngai mein

    aaj aaya wo mere ghar to ye mahsus hua

    mahtab utra ho jaise meri angnai mein

    meri aankhon se nikal aae KHushi ke aansu

    beTi ruKHsat jo hui gunjti shahnai mein

    ghar mein mehman agar aaen to KHushi hoti hai

    main kasar kuchh nahin rakhta hun pazirai mein

    na to roTi hi mayassar hai na kapDa na makan

    zindagi yun bhi guzar jati hai kaThinai mein

    husn aisa hai ki aaine ko hairan kar de

    ek wafa ki hi kami hai mere harjai mein

    kaise ashaar mein laega ghazal ki KHushbu

    wo jo masruf hai bas qafiya paimai mein

    daKHila mera hi mamnua hai gulshan mein 'zaki'

    jab ki KHun main ne diya bagh ki zebai mein

    ai 'zaki' main ne bhi ye KHwah nahin samjha tha

    un ki sazish rahi shamil meri paspai mein

    Source:

    ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 82)

    • Author: کوکب ذکی
      • Publisher: وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now