Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hun jab se tere halqa-e-faizan-e-nazar mein

Sarfaraz Bazmi

hun jab se tere halqa-e-faizan-e-nazar mein

Sarfaraz Bazmi

MORE BYSarfaraz Bazmi

    huuñ jab se tire halqa-e-faizān-e-nazar meñ

    duniyā simaT aa.ī hai mire dīda-e-tar meñ

    hai qulzum-e-idrāk maujoñ meñ talātum

    ab chain mayassar hai safar meñ na hazar meñ

    kartā hai koī hurmat-e-ka.aba qabā chaak

    ik sāhir-e-almūt ke jaadū ke asar meñ

    ai gumbad-e-ḳhazrā ke makīñ vaqt-e-duā hai

    ka.abe ke musalle haiñ kalīsā ke asar meñ

    ai mīr-e-arab shaukat-o-satvat Dhalī shaam

    har lamha safar barq-o-sharar ḳhauf-o-ḳhatar meñ

    girdāb maujoñ se sadaf hote haiñ sairāb

    kuchh ḳhair ke pahlū bhī huā karte haiñ shar meñ

    rakh shīsha-e-dil gard-e-kudūrat se musaffā

    miTTī kahīñ rakhtā hai koī kāñch ke ghar meñ

    is sham.a duniyā ko zarūrat hai bahut aaj

    jo shaiḳh liye baiThā hai allāh ke ghar meñ

    'bazmī' tan-e-ḳhākī taqaddus nahīñ matlūb

    hai azmat-e-gauhar binā āb-e-guhar meñ

    hun jab se tere halqa-e-faizan-e-nazar mein

    duniya simaT aai hai mere dida-e-tar mein

    hai qulzum-e-idrak ki maujon mein talatum

    ab chain mayassar hai safar mein na hazar mein

    karta hai koi hurmat-e-kaba ki qaba chaak

    ek sahir-e-almut ke jadu ke asar mein

    ai gumbad-e-KHazra ke makin waqt-e-dua hai

    kabe ke musalle hain kalisa ke asar mein

    ai mir-e-arab shaukat-o-satwat ki Dhali sham

    har lamha safar barq-o-sharar KHauf-o-KHatar mein

    girdab ki maujon se sadaf hote hain sairab

    kuchh KHair ke pahlu bhi hua karte hain shar mein

    rakh shisha-e-dil gard-e-kudurat se musaffa

    miTTi kahin rakhta hai koi kanch ke ghar mein

    is shama ki duniya ko zarurat hai bahut aaj

    jo shaiKH liye baiTha hai allah ke ghar mein

    'bazmi' tan-e-KHaki ka taqaddus nahin matlub

    hai azmat-e-gauhar ki bina aab-e-guhar mein

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now