Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hun shaiKH mushafi ka main hairan-e-shaeri

Mushafi Ghulam Hamdani

hun shaiKH mushafi ka main hairan-e-shaeri

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    huuñ shaiḳh mus.hafī maiñ hairān-e-shā.erī

    allāh muflisī meñ ye kuchh shān-e-shā.erī

    rauñdā use tamām mire raḳhsh-e-kilk ne

    saudā se bach rahā thā jo maidān-e-shā.erī

    maiñ aur le ke sauda namak us meñ bhar diyā

    thā us kam namak jo namakdān-e-shā.erī

    hindostāñ ke gardan-e-ḳhurd-o-buzurg par

    hai sach to ye mirā hai ehsān-e-shā.erī

    pairav haiñ merī tarz ke yaañ chhoTe aur baḌe

    mulk-e-suḳhan huuñ maiñ sulaimān-e-shā.erī

    rahte haiñ īñchā-tānī meñ ab us ke aur yaar

    thā haath meñ mire jo garebān-e-shā.erī

    rakhtī hai nok-e-ḳhāma-e-jādū-raqam hanūz

    mizhgān-e-tar se taaza gulistān-e-shā.erī

    mūñdī jo aañkh maiñ ne to chashm-e-zamāna se

    chhup jā.egā vūñhī mah-e-tābān-e-shā.erī

    maiñ ibtadā-e-umr meñ muddat talak bahut

    chhānā hai fārsī safāhān-e-shā.erī

    ba.ad is ke reḳhte bhī rakkhī hai vo binā

    hairāñ haiñ jis ke naqsh-e-tarāzān-e-shā.erī

    kuchh kuchh kahe haiñ phir arabī meñ jo sher-o-nazm

    is meñ bhī ban gayā huuñ maiñ sahbān-e-shā.erī

    din raat mere nāḳhun-e-nok-e-qalam meñ haiñ

    lākhoñ tarīq o sheva o unvān-e-shā.erī

    har sifla dahan ye nahīñ hai ki ho sake

    mere sivā.e sham-e-shabistān-e-shā.erī

    jis roz mere jism se niklegī merī jaañ

    ye jāniyo aaj ga.ī jān-e-shā.erī

    lākhoñ tarāna-sanj hue is ke reza-chīñ

    ai 'mus.hafī' mirā hai vo ḳhvān-e-shā.erī

    hun shaiKH mushafi ka main hairan-e-shaeri

    allah muflisi mein ye kuchh shan-e-shaeri

    raunda use tamam mere raKHsh-e-kilk ne

    sauda se bach raha tha jo maidan-e-shaeri

    main aur le ke sauda namak us mein bhar diya

    tha us ka kam namak jo namakdan-e-shaeri

    hindostan ke gardan-e-KHurd-o-buzurg par

    hai sach to ye mera hi hai ehsan-e-shaeri

    pairaw hain meri tarz ke yan chhoTe aur baDe

    mulk-e-suKHan ka hun main sulaiman-e-shaeri

    rahte hain incha-tani mein ab us ke aur yar

    tha hath mein mere jo gareban-e-shaeri

    rakhti hai nok-e-KHama-e-jadu-raqam hanuz

    mizhgan-e-tar se taza gulistan-e-shaeri

    mundi jo aankh main ne to chashm-e-zamana se

    chhup jaega wunhi mah-e-taban-e-shaeri

    main ibtada-e-umr mein muddat talak bahut

    chhana hai farsi ka safahan-e-shaeri

    baad is ke reKHte ki bhi rakkhi hai wo bina

    hairan hain jis ke naqsh-e-taraazan-e-shaeri

    kuchh kuchh kahe hain phir arabi mein jo sher-o-nazm

    is mein bhi ban gaya hun main sahban-e-shaeri

    din raat mere naKHun-e-nok-e-qalam mein hain

    lakhon tariq o shewa o unwan-e-shaeri

    har sifla ka dahan ye nahin hai ki ho sake

    mere siwae sham-e-shabistan-e-shaeri

    jis roz mere jism se niklegi meri jaan

    ye jaaniyo tu aaj gai jaan-e-shaeri

    lakhon tarana-sanj hue is ke reza-chin

    ai 'mushafi' mera hi hai wo KHwan-e-shaeri

    Source:

    kulliyat-e-mas.hafii(haftum) (Pg. 318)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now