Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hun zat-e-fana mujhko fana kaun karega

Mohammad Javed Ishaati

hun zat-e-fana mujhko fana kaun karega

Mohammad Javed Ishaati

MORE BYMohammad Javed Ishaati

    huuñ zāt-e-fanā mujh ko fanā kaun karegā

    qatre ko samundar se judā kaun karegā

    rahmat-e-ālam hai shahanshāh-e-madīna

    ummat pe karam tere sivā kaun karegā

    lenā hai to le le abhī jannat duā.eñ

    gar maañ na rahegī to duā kaun karegā

    is daur meñ miltā nahīñ shīsha-gar-e-pur-fan

    phir sher parakhne ḳhatā kaun karegā

    ghar merā jalānā hai to dāman na bachānā

    bhaḌke hue sho.aloñ pe havā kaun karegā

    dard mohabbat mujhe de to rahā hai

    ye bhī to batā is davā kaun karegā

    'jāved' mirī jaan ke dushman haiñ mire dost

    ab batā merā bhalā kaun karegā

    hun zat-e-fana mujh ko fana kaun karega

    qatre ko samundar se juda kaun karega

    tu rahmat-e-alam hai shahanshah-e-madina

    ummat pe karam tere siwa kaun karega

    lena hai to le le abhi jannat ki duaen

    gar man na rahegi to dua kaun karega

    is daur mein milta nahin shisha-gar-e-pur-fan

    phir sher parakhne ki KHata kaun karega

    ghar mera jalana hai to daman na bachana

    bhaDke hue shoalon pe hawa kaun karega

    tu dard mohabbat ka mujhe de to raha hai

    ye bhi to bata is ki dawa kaun karega

    'jawed' meri jaan ke dushman hain mere dost

    ab tu hi bata mera bhala kaun karega

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 432)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now