Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ibtida har ek KHushi ki intiha-e-gham se hai

Syed Akhtar Ali Akhtar

ibtida har ek KHushi ki intiha-e-gham se hai

Syed Akhtar Ali Akhtar

MORE BYSyed Akhtar Ali Akhtar

    ibtidā har ik ḳhushī intihā-e-ġham se hai

    tāzgī-e-ġhuncha-o-gul girya-e-shabnam se hai

    hādsāt-e-dahr meñ shāmil rahā kis lahū

    surḳh-rūī bāġh-e-ālam hamāre dam se hai

    apne mai-ḳhvāroñ ko saaqī mast nazroñ pilā

    raunaq-e-bazm-e-masarrat daur-e-jām-e-jam se hai

    mushkileñ kitnī bhī hoñ manzil pe pahuñcheñge zarūr

    kāmyābī tavaqqo koshish-e-paiham se hai

    ham se vābasta hai 'aḳhtar' bahār-e-rang-o-bū

    husn nāz-āfrīnī āshiqī ke dam se hai

    ibtida har ek KHushi ki intiha-e-gham se hai

    tazgi-e-ghuncha-o-gul girya-e-shabnam se hai

    hadsat-e-dahr mein shamil raha kis ka lahu

    surKH-rui bagh-e-alam ki hamare dam se hai

    apne mai-KHwaron ko saqi mast nazron ki pila

    raunaq-e-bazm-e-masarrat daur-e-jam-e-jam se hai

    mushkilen kitni bhi hon manzil pe pahunchenge zarur

    kaamyabi ki tawaqqo koshish-e-paiham se hai

    hum se hi wabasta hai 'aKHtar' bahaar-e-rang-o-bu

    husn ki naz-afrini aashiqi ke dam se hai

    Source:

    Nikhat-e-Gul (Pg. 89)

    • Author: Syed Akhtar Ali Akhtar
      • Publisher: Syed Akhtar Ali Akhtar
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now