Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ibtida se main intiha ka hun

Shahid Kamal

ibtida se main intiha ka hun

Shahid Kamal

MORE BYShahid Kamal

    ibtidā se maiñ intihā huuñ

    maiñ huuñ maġhrūr aur balā huuñ

    bhī hai ik charāġh-e-mohlat-e-shab

    maiñ bhī jhoñkā kisī havā huuñ

    pheñk mujh par kamand-e-nāz apnī

    aaj maiñ ham-safar sabā huuñ

    jis meñ malbūs chāñd rahtā hai

    maiñ bhī takmā usī qabā huuñ

    mujh ko apnā samajh rahī hai

    maiñ kisī aur bevafā huuñ

    is meñ merī ḳhatā nahīñ koī

    murtakib bas isī ḳhatā huuñ

    zindagī maiñ abhī salāmat huuñ

    maiñ asar terī bad-duā huuñ

    mujh pe rakhtā hai tohmat-e-ilhād

    maiñ bhī banda isī ḳhudā huuñ

    ujḌe ḳhemoñ sogvār huuñ maiñ

    maiñ azādār karbalā huuñ

    mujh ko 'shāhid'-kamāl kahte haiñ

    maiñ bhī shā.ir huuñ aur balā huuñ

    ibtida se main intiha ka hun

    main hun maghrur aur bala ka hun

    tu bhi hai ek charagh-e-mohlat-e-shab

    main bhi jhonka kisi hawa ka hun

    phenk mujh par kamand-e-naz apni

    aaj main ham-safar saba ka hun

    jis mein malbus chand rahta hai

    main bhi takma usi qaba ka hun

    mujh ko apna samajh rahi hai tu

    main kisi aur bewafa ka hun

    is mein meri KHata nahin koi

    murtakib bas isi KHata ka hun

    zindagi main abhi salamat hun

    main asar teri bad-dua ka hun

    mujh pe rakhta hai tohmat-e-ilhad

    main bhi banda isi KHuda ka hun

    ujDe KHemon ka sogwar hun main

    main azadar karbala ka hun

    mujh ko 'shahid'-kamal kahte hain

    main bhi shair hun aur bala ka hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now