idhar udhar se kitab dekhun
idhar udhar se kitāb dekhūñ
ḳhayāl sochūñ ki ḳhvāb dekhūñ
tumhārī nazroñ se dekhūñ duniyā
tumhārī āñkhoñ se ḳhvāb dekhūñ
huā hai tasvīr ik tasavvur
gulāb sochūñ gulāb dekhūñ
badan hai merā hazār āñkheñ
kabhī use be-naqāb dekhūñ
bichhā.e rakhkhūñ ḳhamīr-e-sahrā
samundaroñ meñ sarāb dekhūñ
hasīn lamhe guzār aa.uuñ
udaas rātoñ ke ḳhvāb dekhūñ
idhar udhar se kitab dekhun
KHayal sochun ki KHwab dekhun
tumhaari nazron se dekhun duniya
tumhaari aankhon se KHwab dekhun
hua hai taswir ek tasawwur
gulab sochun gulab dekhun
badan hai mera hazar aankhen
kabhi use be-naqab dekhun
bichhae rakhkhun KHamir-e-sahra
samundaron mein sarab dekhun
hasin lamhe guzar aaun
udas raaton ke KHwab dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.