Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ifsha hue asrar-e-junun jama-dari se

Imdad Ali Bahr

ifsha hue asrar-e-junun jama-dari se

Imdad Ali Bahr

MORE BYImdad Ali Bahr

    ifshā hue asrār-e-junūñ jāma-darī se

    chhāpe ga.e aḳhbār mirī be-ḳhabarī se

    dam naak meñ aayā hai ab is nauhagarī se

    dil pak gayā ai aah tirī be-asarī se

    kyā din haiñ jo gul khilte haiñ sho'le haiñ dahakte

    chaltī hai bāġhoñ meñ nasīm-e-saharī se

    sone ke nivāloñ se na kar parvarish-e-rūh

    itnī bhī mohabbat nahīñ karte safarī se

    kab ahl-e-duval se huī ma.abūd-parastī

    bātil hai agar sajda kareñ tāj-e-zarī se

    har haal meñ rahtī hai ḳhudā par nazar apnī

    ye martaba hāsil hai hameñ be-hunarī se

    maġhrūr na ho chāñd se ruḳhsār par apne

    ye qumquma raushan hai charāġh-e-saharī se

    vo hai shah-e-husn agar baaj talab ho

    le huur se guldasta tabaq shāh-e-parī se

    muñh chaḌhte haiñ bad-asl tamīz un ko nahīñ hai

    dāñtoñ se laḌī silk-e-guhar bad-guharī se

    āñkhoñ se nikalvāiye āñkheñ hirnoñ

    chītoñ kamar toḌiye nāzuk-kamarī se

    naubat to kahīñ qatl-e-gunahgār aa.ī

    naqqāre bajā.uñgā meñ tīroñ sarī se

    pusht-e-lab-e-shaffāf se joban hai misoñ

    sabze ne numū hai aqīq-e-shajarī se

    piirī meñ bhī ham se na huī ḳhāna-nashīnī

    baaz aa.e na bazmoñ se na guzre guzrī se

    qad tiir talvār tavāzo' se huā hai

    vo haath uThāte nahīñ be-dād-garī se

    jab chāho chale aao ye vā'da nahīñ achchhā

    dil aañkh churātā hai bahut muntazarī se

    ab zof-e-junūñ kūcha-e-jānāñ meñ bahā de

    kab tak ye varam paañv par āshufta-sarī se

    vo choT kaleje meñ lagī hai ki na pūchho

    taḌpūñgā tah-e-ḳhāk bhī dard-e-jigarī se

    rone na le naam ġham-e-yār meñ ai 'bahr'

    ulTe na zamāne varaq lab tarī se

    ifsha hue asrar-e-junun jama-dari se

    chhape gae aKHbar meri be-KHabari se

    dam nak mein aaya hai ab is nauhagari se

    dil pak gaya ai aah teri be-asari se

    kya din hain jo gul khilte hain sho'le hain dahakte

    lu chalti hai baghon mein nasim-e-sahari se

    sone ke niwalon se na kar parwarish-e-ruh

    itni bhi mohabbat nahin karte safari se

    kab ahl-e-duwal se hui mabud-parasti

    baatil hai agar sajda karen taj-e-zari se

    har haal mein rahti hai KHuda par nazar apni

    ye martaba hasil hai hamein be-hunari se

    maghrur na ho chand se ruKHsar par apne

    ye qumquma raushan hai charagh-e-sahari se

    tu wo hai shah-e-husn agar baj talab ho

    le hur se guldasta tabaq shah-e-pari se

    munh chaDhte hain bad-asl tamiz un ko nahin hai

    danton se laDi silk-e-guhar bad-guhari se

    aankhon se nikalwaiye aankhen hirnon ki

    chiton ki kamar toDiye nazuk-kamari se

    naubat to kahin qatl-e-gunahgar ki aai

    naqqare bajaunga mein tiron ki sari se

    pusht-e-lab-e-shaffaf se joban hai mison ka

    sabze ne numu ki hai aqiq-e-shajari se

    piri mein bhi hum se na hui KHana-nashini

    baz aae na bazmon se na guzre guzri se

    qad tir sa talwar tawazo' se hua hai

    wo hath uThate nahin be-dad-gari se

    jab chaho chale aao ye wa'da nahin achchha

    dil aankh churaata hai bahut muntazari se

    ab zof-e-junun kucha-e-jaanan mein baha de

    kab tak ye waram panw par aashufta-sari se

    wo choT kaleje mein lagi hai ki na puchho

    taDpunga tah-e-KHak bhi dard-e-jigari se

    rone ka na le nam gham-e-yar mein ai 'bahr'

    ulTe na zamane ka waraq lab ki tari se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now