Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

iman ke bharose par dariya mein utar jaana

Ahmed Arsalan

iman ke bharose par dariya mein utar jaana

Ahmed Arsalan

MORE BYAhmed Arsalan

    īmāñ ke bharose par dariyā meñ utar jaanā

    bahr-e-havādis se yak-laḳht ubhar jaanā

    jis raah pe phailā ho nafrat añdherā tum

    ulfat ziyā le kar us rah se guzar jaanā

    ghar mere chale aa.e vo ḳhud achānak se

    kahte haiñ isī ko to qismat sañvar jaanā

    shā.ir meñ nahīñ lekin sohbat asar hai ye

    jab sher huā koī faizān-e-nazar jaanā

    maiḳhāne se kar bhī lauTā hai salīqe se

    ma.alūm thā us ko ab jaanā hai to ghar jaanā

    ham sach ko kaheñge sach fitrat ye hamārī hai

    zālim se hameñ hargiz aatā nahīñ Dar jaanā

    abbā nasīhat par kartā huuñ amal har dam

    us ek amal se sīkhā hai nikhar jaanā

    masrūf agar ho tum be-kār nahīñ maiñ bhī

    is ġham se to behtar hai āvāra mar jaanā

    barsāt ḳhadsha hai bijlī na kahīñ gir jaa.e

    jaate ho kahāñ 'ahmad' kuchh der Thahar jaanā

    iman ke bharose par dariya mein utar jaana

    tu bahr-e-hawadis se yak-laKHt ubhar jaana

    jis rah pe phaila ho nafrat ka andhera tum

    ulfat ki ziya le kar us rah se guzar jaana

    ghar mere chale aae wo KHud hi achanak se

    kahte hain isi ko to qismat ka sanwar jaana

    shair mein nahin lekin sohbat ka asar hai ye

    jab sher hua koi faizan-e-nazar jaana

    maiKHane se pi kar bhi lauTa hai saliqe se

    malum tha us ko ab jaana hai to ghar jaana

    hum sach ko kahenge sach fitrat ye hamari hai

    zalim se hamein hargiz aata nahin Dar jaana

    abba ki nasihat par karta hun amal har dam

    us ek amal se hi sikha hai nikhar jaana

    masruf agar ho tum be-kar nahin main bhi

    is gham se to behtar hai aawara hi mar jaana

    barsat ka KHadsha hai bijli na kahin gir jae

    jate ho kahan 'ahmad' kuchh der Thahar jaana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now