Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ijz-e-KHak-sari kyun faKHr-e-kaj-kulahi kya

Saleem Kausar

ijz-e-KHak-sari kyun faKHr-e-kaj-kulahi kya

Saleem Kausar

MORE BYSaleem Kausar

    ijz-e-ḳhāk-sārī kyuuñ faḳhr-e-kaj-kulāhī kyā

    jab mohabbateñ haiñ phir koī gavāhī kyā

    ham rutoñ ke mujrim haiñ har havā nazroñ meñ

    terī pārsā.ī kyā merī be-gunāhī kyā

    tum to aañkh vaale the aks mil gayā hogā

    maiñ sadā be-chehra merā ā.īna kyā

    vasl koī lamha rā.egāñ nahīñ lekin

    jo alag na kartā ho aisā rāsta kyā

    shab-gazīda logoñ ko niiñd se ulajhnā hai

    raat masāfat meñ razm-e-sub.h-gāhī kyā

    jaane kab bigaḌ jaa.eñ jaane kab sañvar jaa.eñ

    dast-e-kūza-gar meñ haiñ apnā aasrā kyā

    tum 'salīm' shā.ir ho shohratoñ pe mat jaao

    masnad-e-faqīrī pe ḳhabt-e-bādshāhī kyā

    ijz-e-KHak-sari kyun faKHr-e-kaj-kulahi kya

    jab mohabbaten ki hain phir koi gawahi kya

    hum ruton ke mujrim hain har hawa ki nazron mein

    teri parsai kya meri be-gunahi kya

    tum to aankh wale the aks mil gaya hoga

    main sada ka be-chehra mera aaina hi kya

    wasl ka koi lamha raegan nahin lekin

    jo alag na karta ho aisa rasta hi kya

    shab-gazida logon ko nind se ulajhna hai

    raat ki masafat mein razm-e-subh-gahi kya

    jaane kab bigaD jaen jaane kab sanwar jaen

    dast-e-kuza-gar mein hain apna aasra hi kya

    tum 'salim' shair ho shohraton pe mat jao

    masnad-e-faqiri pe KHabt-e-baadshahi kya

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now