Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek aaftab ka rang ek mahtab ka rang

Ejazulhaq Shahab

ek aaftab ka rang ek mahtab ka rang

Ejazulhaq Shahab

MORE BYEjazulhaq Shahab

    ik āftāb rañg ek māhtāb rañg

    milā ke Dhālā gayā hai tire shabāb rañg

    numāyāñ jism hai aur shoḳh hai naqāb rañg

    badal rahā hai zamāne meñ ab hijāb rañg

    milī nazar jo mirī daf.atan sar-e-mahfil

    hayā se ruḳh pe tere aa gayā gulāb rañg

    nikal paḌe haiñ jo jugnū liye hue qindīl

    utar gayā hai tabhī se is āftāb rañg

    sunā hai taḳht larazte haiñ taaj hilte haiñ

    jo ham ġhazal meñ milāte haiñ inqalāb rañg

    salīqa ziist ko jiine ham ne sīkhā hai

    saroñ pe jab se chaḌhā hai terī kitāb rañg

    vo pahle pahle se tevar havā hue dekho

    uḌā uḌā hai kuchh din se ab janāb rañg

    kisī ke sar pe chaḌhā rañg 'mīr'-o-'ġhālib'

    kisī ke sar pe chaḌhegā kabhī 'shahāb' rañg

    ek aaftab ka rang ek mahtab ka rang

    mila ke Dhaala gaya hai tere shabab ka rang

    numayan jism hai aur shoKH hai naqab ka rang

    badal raha hai zamane mein ab hijab ka rang

    mili nazar jo meri dafatan sar-e-mahfil

    haya se ruKH pe tere aa gaya gulab ka rang

    nikal paDe hain jo jugnu liye hue qindil

    utar gaya hai tabhi se is aaftab ka rang

    suna hai taKHt larazte hain taj hilte hain

    jo hum ghazal mein milate hain inqalab ka rang

    saliqa zist ko jine ka hum ne sikha hai

    saron pe jab se chaDha hai teri kitab ka rang

    wo pahle pahle se tewar hawa hue dekho

    uDa uDa sa hai kuchh din se ab janab ka rang

    kisi ke sar pe chaDha rang 'mir'-o-'ghaalib' ka

    kisi ke sar pe chaDhega kabhi 'shahab' ka rang

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now