ek aalam-e-hairat hai fana hai na baqa hai
ik ālam-e-hairat hai fanā hai na baqā hai
hairat bhī ye hairat hai ki kyā jāniye kyā hai
sau baar jalā hai to ye sau baar banā hai
ham soḳhta-jānoñ kā nasheman bhī balā hai
hoñToñ pe tabassum hai ki ik barq-e-balā hai
āñkhoñ kā ishāra hai ki sailāb-e-fanā hai
suntā huuñ baḌe ġhaur se afsāna-e-hastī
kuchh ḳhvāb hai kuchh asl hai kuchh tarz-e-adā hai
hai tere tasavvur se yahāñ nuur kī bārish
ye jān-e-hazīñ hai ki shabistān-e-hirā hai
ek aalam-e-hairat hai fana hai na baqa hai
hairat bhi ye hairat hai ki kya jaaniye kya hai
sau bar jala hai to ye sau bar bana hai
hum soKHta-jaanon ka nasheman bhi bala hai
honTon pe tabassum hai ki ek barq-e-bala hai
aankhon ka ishaara hai ki sailab-e-fana hai
sunta hun baDe ghaur se afsana-e-hasti
kuchh KHwab hai kuchh asl hai kuchh tarz-e-ada hai
hai tere tasawwur se yahan nur ki barish
ye jaan-e-hazin hai ki shabistan-e-hira hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.