Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek aap ke siwa koi ham-nawa nahin hai

Dharam Singh Malviya

ek aap ke siwa koi ham-nawa nahin hai

Dharam Singh Malviya

MORE BYDharam Singh Malviya

    ik aap ke sivā koī ham-navā nahīñ hai

    daur-e-jahāñ meñ koī ab aap nahīñ hai

    chehre pe daaġh haiñ gar saare dikhā.ī deñge

    kyā sochā is jahāñ meñ ab aa.ina nahīñ hai

    jaanā hai āsmāñ par nekī ko saath rakkho

    ki dūsrā yahāñ koī rāsta nahīñ hai

    saaqī mujhe faqat ab terā aasrā hai

    maiñ rind huuñ mirā ab koī sagā nahīñ hai

    us ko jahāñ se chāhat kaise milegī bolo

    jis ko kisī ke ġham se koī vāsta nahīñ hai

    apnī tarah 'dharam' tum samjho na har kisī ko

    andhe ko lag rahā koī dekhtā nahīñ hai

    ek aap ke siwa koi ham-nawa nahin hai

    daur-e-jahan mein koi ab aap sa nahin hai

    chehre pe dagh hain gar sare dikhai denge

    kya socha is jahan mein ab aaina nahin hai

    jaana hai aasman par neki ko sath rakkho

    ki dusra yahan koi rasta nahin hai

    saqi mujhe faqat ab tera hi aasra hai

    main rind hun mera ab koi saga nahin hai

    us ko jahan se chahat kaise milegi bolo

    jis ko kisi ke gham se koi wasta nahin hai

    apni tarah 'dharam' tum samjho na har kisi ko

    andhe ko lag raha koi dekhta nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now