Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek aisi an-kahi tahrir karne ja raha hun

Jaleel 'Aali'

ek aisi an-kahi tahrir karne ja raha hun

Jaleel 'Aali'

MORE BYJaleel 'Aali'

    ik aisī an-kahī tahrīr karne rahā huuñ

    hunar ko aur bhī gambhīr karne rahā huuñ

    mire ehsās meñ bechain jis ke ḳhāl-o-ḳhad haiñ

    use har aañkh meñ tasvīr karne rahā huuñ

    maiñ farhād-e-ma.ānī tīsha-e-harf-o-bayāñ se

    suḳhan jhiil jū-e-shīr karne rahā huuñ

    diloñ ke darmiyāñ rastoñ meñ kitne ḳham paḌe haiñ

    maiñ un ko phir se sīdhā tiir karne rahā huuñ

    vo jis meñ be-navāoñ ke lahū surḳhiyāñ haiñ

    kulāh-e-shāh līr-o-līr karne rahā huuñ

    mujhe zanjīrnā hai apne hisse zamāna

    so apne aap ko tasḳhīr karne rahā huuñ

    sadā tābīr-dar-tābīr jo rakkhe safar meñ

    maiñ vo ḳhvāb-e-digar tāmīr karne rahā huuñ

    ek aisi an-kahi tahrir karne ja raha hun

    hunar ko aur bhi gambhir karne ja raha hun

    mere ehsas mein bechain jis ke KHal-o-KHad hain

    use har aankh mein taswir karne ja raha hun

    main farhad-e-maani tisha-e-harf-o-bayan se

    suKHan ki jhil ju-e-shir karne ja raha hun

    dilon ke darmiyan raston mein kitne KHam paDe hain

    main un ko phir se sidha tir karne ja raha hun

    wo jis mein be-nawaon ke lahu ki surKHiyan hain

    kulah-e-shah lir-o-lir karne ja raha hun

    mujhe zanjirna hai apne hisse ka zamana

    so apne aap ko tasKHir karne ja raha hun

    sada tabir-dar-tabir jo rakkhe safar mein

    main wo KHwab-e-digar tamir karne ja raha hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now