ek ajab charKH-e-rawan hai kaenat-e-be-karan
ek ajab charKH-e-rawan hai kaenat-e-be-karan
Syed Kamran Zubair Kaamii
MORE BYSyed Kamran Zubair Kaamii
ik 'ajab charḳh-e-ravāñ hai kā.enāt-e-be-karāñ
'āshiq-e-sādiq kī gardish hairat-e-charḳh-e-ravāñ
tark-e-duniyā se milegī dā.imī dīvāngī
ishq-e-fānī rā.egāñ 'ishq-e-haqīqī jāvedāñ
qalb par anvār vārid ho rahe haiñ 'arsh se
be-nihāyat rahmateñ vaj.h-e-sukūn-e-'āshiqāñ
'ishq ke sāzoñ meñ goyā bāda-e-gul-rang hai
naġhma-hā-e-be-ḳhudī raqs-e-qalandar sargirāñ
sab pe kaifiyyat 'ayāñ hotī nahīñ hai 'ishq kī
mubtalā-e-‘ishq par khultā hai ye rāz-e-nihāñ
'āshiq-e-haq jheltā hai qaid ḳhākī jism kī
manzil-e-maqsūd us kī bārgāh-e-mehrbāñ
tishna-kāmī sharbat-e-dīdār kī hai muntazir
'ishq kī me'rāj hai dīd-e-ḳhudā-e-do-jahāñ
ek 'ajab charKH-e-rawan hai kaenat-e-be-karan
'ashiq-e-sadiq ki gardish hairat-e-charKH-e-rawan
tark-e-duniya se milegi daimi diwangi
ishq-e-fani raegan 'ishq-e-haqiqi jawedan
qalb par anwar warid ho rahe hain 'arsh se
be-nihayat rahmaten wajh-e-sukun-e-'ashiqan
'ishq ke sazon mein goya baada-e-gul-rang hai
naghma-ha-e-be-KHudi raqs-e-qalandar sargiran
sab pe kaifiyyat 'ayan hoti nahin hai 'ishq ki
mubtala-e-‘ishq par khulta hai ye raaz-e-nihan
'ashiq-e-haq jhelta hai qaid KHaki jism ki
manzil-e-maqsud us ki bargah-e-mehrban
tishna-kaami sharbat-e-didar ki hai muntazir
'ishq ki me'raj hai did-e-KHuda-e-do-jahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.