Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek ajab rog mere ji ko laga barson se

Kuldeep Gauhar

ek ajab rog mere ji ko laga barson se

Kuldeep Gauhar

MORE BYKuldeep Gauhar

    ik ajab rog mire ko lagā barsoñ se

    raas aa.ī bhī nahīñ koī davā barsoñ se

    yuuñ to aane ko bahār aa.ī ḳhizāñ bhī aa.ī

    dil ke māhaul badlī na fazā barsoñ se

    mere dil ye ḳhūbī hai ki is meñ yaaro

    rāt-din hotā hai hangāma bapā barsoñ se

    minnateñ māñgīñ davā aur duā bhī kar

    ġhuncha-e-dil kisī sūrat na khilā barsoñ se

    kisī nādār turbat hai tanhā zāmin

    ek TuuTā huā ḳhāmosh diyā barsoñ se

    kaun hai mere sivā mahram-e-asrār-e-vafā

    dil mirā soz-e-mohabbat meñ jalā barsoñ se

    merā andāz-e-parastish hai zamāne se judā

    maiñ samajhtā huuñ sanam ko ḳhudā barsoñ se

    ḳhvāb ho ke rahā sheva-e-ādāb-o-salām

    ab to aatī nahīñ lab pe duā barsoñ se

    apnī tasvīr ko dekhā to ye mahsūs huā

    aisā ik shaḳhs mire saath rahā barsoñ se

    fard-e-isyāñ pe mirī dāvar-e-mahshar ne likhā

    is se sarzad na huī koī ḳhatā barsoñ se

    mauj-e-dariyā tarannum kabhī dilkash rim-jhim

    kaun hai in meñ sadā naġhma-sarā barsoñ se

    kuchh na kuchh is bhī mafhūm to hogā 'gauhar'

    ġhaib se aatī hai kānoñ meñ sadā barsoñ se

    ek ajab rog mere ji ko laga barson se

    ras aai bhi nahin koi dawa barson se

    yun to aane ko bahaar aai KHizan bhi aai

    dil ke mahaul ki badli na faza barson se

    mere hi dil ki ye KHubi hai ki is mein yaro

    raat-din hota hai hangama bapa barson se

    minnaten mangin dawa aur dua bhi kar li

    ghuncha-e-dil kisi surat na khila barson se

    kisi nadar ki turbat ka hai tanha zamin

    ek TuTa hua KHamosh diya barson se

    kaun hai mere siwa mahram-e-asrar-e-wafa

    dil mera soz-e-mohabbat mein jala barson se

    mera andaz-e-parastish hai zamane se juda

    main samajhta hun sanam hi ko KHuda barson se

    KHwab sa ho ke raha shewa-e-adab-o-salam

    ab to aati hi nahin lab pe dua barson se

    apni taswir ko dekha to ye mahsus hua

    aisa ek shaKHs mere sath raha barson se

    fard-e-isyan pe meri dawar-e-mahshar ne likha

    is se sarzad na hui koi KHata barson se

    mauj-e-dariya ka tarannum kabhi dilkash rim-jhim

    kaun hai in mein sada naghma-sara barson se

    kuchh na kuchh is ka bhi mafhum to hoga 'gauhar'

    ghaib se aati hai kanon mein sada barson se

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now