ek bar phir se le ke chalo us gali mujhe
ik baar phir se le ke chalo us galī mujhe
bas is liye hī karnī paḌī ḳhud-kushī mujhe
panchhī ko qaid karnā nahīñ chāhiye kabhī
ye baat ik buzurg kī achchhī lagī mujhe
sab kā yahī mizāj hai kuchh bhī nayā nahīñ
to kyā huā jo kar diyā us ne dukhī mujhe
badlā jo vaqt merā to bhaa.ī badal ga.e
ye baat sab ke sāmne kahnī paḌī mujhe
ghar se bahut maiñ duur huuñ kāñdhe pe bojh hai
tanhā hī phir se 'iid manānī paḌī mujhe
dul.han banā ke us ko maiñ kar dūñgā ab supurd
har haal meñ qubūl hai us kī ḳhushī mujhe
ek bar phir se le ke chalo us gali mujhe
bas is liye hi karni paDi KHud-kushi mujhe
panchhi ko qaid karna nahin chahiye kabhi
ye baat ek buzurg ki achchhi lagi mujhe
sab ka yahi mizaj hai kuchh bhi naya nahin
to kya hua jo kar diya us ne dukhi mujhe
badla jo waqt mera to bhai badal gae
ye baat sab ke samne kahni paDi mujhe
ghar se bahut main dur hun kandhe pe bojh hai
tanha hi phir se 'id manani paDi mujhe
dulhan bana ke us ko main kar dunga ab supurd
har haal mein qubul hai us ki KHushi mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.