Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek barq-e-tapan kaudde bijli si chamke jae

Riyasat Ali Taj

ek barq-e-tapan kaudde bijli si chamke jae

Riyasat Ali Taj

MORE BYRiyasat Ali Taj

    ik barq-e-tapāñ kauñde bijlī chamke jaa.e

    is āriz-e-rañgīñ se parda jo sarak jaa.e

    zāhid ho to chhak jaa.e nāseh ho to thak jaa.e

    kam-zarf hai vo mai-kash jo ke bahak jaa.e

    sāvan ghaTā uTThe bhādoñ samāñ bāñdhe

    vo zulf jo bikhrā de māhaul mahak jaa.e

    kaliyoñ ke tabassum par tum bhī na kahīñ hañs do

    Dar hai ki rag-e-gul meñ kāñTe na khaTak jaa.e

    ai jur.at-e-rindāna kuchh madad farmā

    un hijāb uTThe merī jhijhak jaa.e

    aa.e bhī to ho jaa.e jazb āñkhoñ āñkhoñ meñ

    vo ashk nahīñ hai jo palkoñ se Dhalak jaa.e

    kyā shai hai ta.alluq bhī kyā chiiz hai nisbat bhī

    jab zikr tirā aa.e kāñTā khaTak jaa.e

    ab sabr-o-tahammul ai 'tāj' ḳhudā-hāfiz

    paimāna labālab hai dekho na chhalak jaa.e

    ek barq-e-tapan kaunde bijli si chamke jae

    is aariz-e-rangin se parda jo sarak jae

    zahid ho to chhak jae naseh ho to thak jae

    kam-zarf hai wo mai-kash jo pi ke bahak jae

    sawan ki ghaTa uTThe bhadon ka saman bandhe

    wo zulf jo bikhra de mahaul mahak jae

    kaliyon ke tabassum par tum bhi na kahin hans do

    Dar hai ki rag-e-gul mein kanTe na khaTak jae

    ai jurat-e-rindana kuchh tu hi madad farma

    ya un ka hijab uTThe ya meri jhijhak jae

    aae bhi to ho jae jazb aankhon hi aankhon mein

    wo ashk nahin hai jo palkon se Dhalak jae

    kya shai hai talluq bhi kya chiz hai nisbat bhi

    jab zikr tera aae kanTa sa khaTak jae

    ab sabr-o-tahammul ka ai 'taj' KHuda-hafiz

    paimana labaalab hai dekho na chhalak jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now