Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek be-nam si khoj hai dil ko jis ke asar mein rahte hain

Shabnam Shakeel

ek be-nam si khoj hai dil ko jis ke asar mein rahte hain

Shabnam Shakeel

MORE BYShabnam Shakeel

    ik be-nām khoj hai dil ko jis ke asar meñ rahte haiñ

    ham kāġhaz naav banā kar roz safar meñ rahte haiñ

    hone aur na hone ik barzaḳh hai ham jis meñ haiñ

    jis meñ shaam ghulī rahtī hai aisī sahar meñ rahte haiñ

    apnā to ab is duniyā se kuchh aisā naatā hai

    jaise niiñd meñ chalne vaale ḳhvāb-nagar meñ rahte haiñ

    pastī aur bulandī kyā ab apne ḳhvāb hayūle bhī

    gard sūrat uḌte haiñ aur rāhguzar meñ rahte haiñ

    nīñd-nagar meñ kar huur se pahroñ bāteñ hotī haiñ

    kaise kaise ḳhvāb mire dīvār-o-dar meñ rahte haiñ

    ek havā ke jhoñke se laraz ga.e haiñ bām-o-dar

    'shabnam' aaise lagtā hai ham ret ke ghar meñ rahte haiñ

    ek be-nam si khoj hai dil ko jis ke asar mein rahte hain

    hum kaghaz ki naw bana kar roz safar mein rahte hain

    hone aur na hone ka ek barzaKH hai hum jis mein hain

    jis mein sham ghuli rahti hai aisi sahar mein rahte hain

    apna to ab is duniya se kuchh aisa hi nata hai

    jaise nind mein chalne wale KHwab-nagar mein rahte hain

    pasti aur bulandi kya ab apne KHwab hayule bhi

    gard ki surat uDte hain aur rahguzar mein rahte hain

    nind-nagar mein ja kar hur se pahron baaten hoti hain

    kaise kaise KHwab mere diwar-o-dar mein rahte hain

    ek hawa ke jhonke hi se laraz gae hain baam-o-dar

    'shabnam' aaise lagta hai hum ret ke ghar mein rahte hain

    Source:

    Masaafat Raigaan Thi (Pg. 77)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now