ek chand hai khoya khoya sa suni chhat par tanha tanha
ik chāñd hai khoyā khoyā sā suunī chhat par tanhā tanhā
maiñ bhī huuñ idhar tanhā tanhā vo bhī hai udhar tanhā tanhā
dil kī tanhā.ī aur baḌhī mehmānoñ ke aa jaane se
ik tere aaj na hone se lagtā hai ghar tanhā tanhā
muddat se ret ke sahrā meñ aaya na gayā bādal koī
kis desh ga.e saare panchhī sūkhā hai shajar tanhā tanhā
murjhā.e hue chehre pe hañsī jab aa.ī mujh ko yaad aaya
bhūlī-bhaTkī shahzādī kā jangal meñ safar tanhā tanhā
nargis ke phūloñ meñ chhup kar pariyoñ kī āñkheñ rotī haiñ
yuuñ rāt-birāt akele meñ jaao na udhar tanhā tanhā
ek chand hai khoya khoya sa suni chhat par tanha tanha
main bhi hun idhar tanha tanha wo bhi hai udhar tanha tanha
dil ki tanhai aur baDhi mehmanon ke aa jaane se
ek tere aaj na hone se lagta hai ghar tanha tanha
muddat se ret ke sahra mein aaya na gaya baadal koi
kis desh gae sare panchhi sukha hai shajar tanha tanha
murjhae hue chehre pe hansi jab aai mujh ko yaad aaya
bhuli-bhaTki shahzadi ka jangal mein safar tanha tanha
nargis ke phulon mein chhup kar pariyon ki aankhen roti hain
yun raat-biraat akele mein jao na udhar tanha tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.