Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek dagh-e-tamanna hai to ek zaKHm-e-wafa hai

Athar Aziz

ek dagh-e-tamanna hai to ek zaKHm-e-wafa hai

Athar Aziz

MORE BYAthar Aziz

    ik dāġh-e-tamannā hai to ik zaḳhm-e-vafā hai

    tanhā ye dil kitne sharāroñ meñ ghirā hai

    aatā hai nazar tum ko jo haala sar-e-bām

    kuchh aur nahīñ merī umīdoñ diyā hai

    ye baat nahīñ sirf ki chehre na.e haiñ

    is shahr ke logoñ har andāz nayā hai

    jo ḳhaar garāñ-māya mile rāh-e-vafā meñ

    baḌh kar unheñ iḳhlās palkoñ se chunā hai

    phir paḌne lagī hai dar-e-ehsās pe dastak

    dekhūñ to sahī kaun hai kyoñ chīḳh rahā hai

    kis moḌ pe le aa.ī hai ai gardish-e-ayyām

    har samt lapakte hue sho.aloñ havā hai

    tum anjum-o-mahtāb pe pahuñche to huā kyā

    jab dil ke shabistāñ meñ añdherā rahā hai

    mumkin ho to raushan rakho ehsās qindīl

    kab chāñd sitāroñ ne bhalā saath diyā hai

    kuchh log to gir kar bhī sañbhal jaate haiñ 'at.har'

    yaañ ek Thokar pe jigar kaañp uThā hai

    ek dagh-e-tamanna hai to ek zaKHm-e-wafa hai

    tanha sa ye dil kitne shararon mein ghira hai

    aata hai nazar tum ko jo haala sa sar-e-baam

    kuchh aur nahin meri umidon ka diya hai

    ye baat nahin sirf ki chehre hi nae hain

    is shahr ke logon ka har andaz naya hai

    jo KHar garan-maya mile rah-e-wafa mein

    baDh kar unhen iKHlas ki palkon se chuna hai

    phir paDne lagi hai dar-e-ehsas pe dastak

    dekhun to sahi kaun hai kyon chiKH raha hai

    kis moD pe le aai hai ai gardish-e-ayyam

    har samt lapakte hue shoalon ki hawa hai

    tum anjum-o-mahtab pe pahunche to hua kya

    jab dil ke shabistan mein andhera hi raha hai

    mumkin ho to raushan rakho ehsas ki qindil

    kab chand sitaron ne bhala sath diya hai

    kuchh log to gir kar bhi sanbhal jate hain 'athar'

    yan ek hi Thokar pe jigar kanp uTha hai

    Source:

    (Pg. 26)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now