Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek dard sab ke dard ka mazhar laga mujhe

Sajjad Babar

ek dard sab ke dard ka mazhar laga mujhe

Sajjad Babar

MORE BYSajjad Babar

    ik dard sab ke dard maz.har lagā mujhe

    dariyā samundaroñ shanāvar lagā mujhe

    mujh ko ḳhalā ke paar se aatī hai ik sadā

    ai rahrav-e-ḳhayāl zarā par lagā mujhe

    ye aur baat maiñ ne khañgālā inheñ bahut

    in pāniyoñ se Dar hai barābar lagā mujhe

    zaḳhmī ufuq dhueñ kamand ūñghte daraḳht

    manzar zad meñ aa ke baḌā Dar lagā mujhe

    vo din kahāñ ki us ko sar-e-shām dekh luuñ

    pichhle pahar chāñd muqaddar lagā mujhe

    us jabīñ pe dekhā to 'sajjād' kyā kahūñ

    dhabba bhī raushnī samundar lagā mujhe

    ek dard sab ke dard ka mazhar laga mujhe

    dariya samundaron ka shanawar laga mujhe

    mujh ko KHala ke par se aati hai ek sada

    ai rahraw-e-KHayal zara par laga mujhe

    ye aur baat main ne khangala inhen bahut

    in paniyon se Dar hai barabar laga mujhe

    zaKHmi ufuq dhuen ki kamand unghte daraKHt

    manzar ki zad mein aa ke baDa Dar laga mujhe

    wo din kahan ki us ko sar-e-sham dekh lun

    pichhle pahar ka chand muqaddar laga mujhe

    us ki jabin pe dekha to 'sajjad' kya kahun

    dhabba bhi raushni ka samundar laga mujhe

    Source:

    Dariche (Pg. 51)

    • Author: Bashir Saifi
      • Edition: 1975
      • Publisher: Shakhsar Publishers
      • Year of Publication: 1975
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now