Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ik-duje mein bhi to raha ja sakta hai

Vineet Aashna

ik-duje mein bhi to raha ja sakta hai

Vineet Aashna

MORE BYVineet Aashna

    ik-dūje meñ bhī to rahā saktā hai

    hijr abhī kuchh din Taalā saktā hai

    yuuñ bhī to kitnī chīzeñ haiñ is ghar meñ

    merā dil kuchh roz rakhā saktā hai

    ḳhaar agar haiñ phuul bhī to hai thoḌe se

    dāman ko to mahkāyā saktā hai

    kaash mirā dil vo bachcha rahtā jo

    āsānī se bahlāyā saktā hai

    pairāhan alfāz ke būToñ vaalā ik

    ḳhāmoshī ko pahnāyā saktā hai

    TuuT ke ehsās mujhe ye ho paayā

    dard abhī kuchh aur sahā saktā hai

    aap ḳhudā hone koshish meñ haiñ par

    sirf āshnā bhī to huā saktā hai

    ik-duje mein bhi to raha ja sakta hai

    hijr abhi kuchh din Tala ja sakta hai

    yun bhi to kitni chizen hain is ghar mein

    mera dil kuchh roz rakha ja sakta hai

    KHar agar hain phul bhi to hai thoDe se

    daman ko to mahkaya ja sakta hai

    kash mera dil wo bachcha hi rahta jo

    aasani se bahlaya ja sakta hai

    pairahan alfaz ke buTon wala ek

    KHamoshi ko pahnaya ja sakta hai

    TuT ke hi ehsas mujhe ye ho paya

    dard abhi kuchh aur saha ja sakta hai

    aap KHuda hone ki koshish mein hain par

    sirf aashna bhi to hua ja sakta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now