Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek gosha-e-dil mein jo kisi ke hain makin hum

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

ek gosha-e-dil mein jo kisi ke hain makin hum

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

MORE BYJitendra Mohan Sinha Rahbar

    ik gosha-e-dil meñ jo kisī ke haiñ makīñ ham

    ye zo.am hai goyā ki haiñ vālī-e-zamīñ ham

    jaarī hai diloñ to vahī rabt-e-nihānī

    har-chand kahīñ aur haiñ vo aur kahīñ ham

    kyā hai ye makāñ kyā ye dayār aur ye jahāñ kyā

    ye auj hai apnā ki jahāñ vo haiñ vahīñ ham

    ye mo.ajaza-e-ishq hai ik zinda haqīqat

    aate haiñ nazar aaj jahāñ bhar meñ hamīñ ham

    vaañ apnī rasā.ī na sahī dar to hai us

    hote nahīñ aġhyār se yuuñ chīñ-ba-jabīñ ham

    har ik meñ nazar aatī haiñ kuchh us adā.eñ

    ulfat na kisī aur se kar baiThe kahīñ ham

    jo chāhe kahe iizā de kuchh kare tazlīl

    dar chhoḌ ke us nahīñ sakte kahīñ ham

    parvāna-e-jannat hameñ dilvāte haiñ kyuuñ aap

    kah to diyā sau baar ki jā.eñge nahīñ ham

    nazzāra-e-ālam hai bas ik ḳhvāb-e-pareshāñ

    bedār hue gar nazar ā.eñge hamīñ ham

    duniyā meñ hai nairañgī-e-taqdīr tamāshā

    the ābla-pā kal to haiñ ab taḳht-nashīñ ham

    uff ik dil-e-'rahbar' pe hasīnoñ ye takrār

    lalchāeñ hamīñ ham ise jaa.eñ hamīñ ham

    ek gosha-e-dil mein jo kisi ke hain makin hum

    ye zoam hai goya ki hain wali-e-zamin hum

    jari hai dilon ka to wahi rabt-e-nihani

    har-chand kahin aur hain wo aur kahin hum

    kya hai ye makan kya ye dayar aur ye jahan kya

    ye auj hai apna ki jahan wo hain wahin hum

    ye moajaza-e-ishq hai ek zinda haqiqat

    aate hain nazar aaj jahan bhar mein hamin hum

    wan apni rasai na sahi dar to hai us ka

    hote nahin aghyar se yun chin-ba-jabin hum

    har ek mein nazar aati hain kuchh us ki adaen

    ulfat na kisi aur se kar baiThe kahin hum

    jo chahe kahe iza de ya kuchh kare tazlil

    dar chhoD ke us ka nahin ja sakte kahin hum

    parwana-e-jannat hamein dilwate hain kyun aap

    kah to diya sau bar ki jaenge nahin hum

    nazzara-e-alam hai bas ek KHwab-e-pareshan

    bedar hue gar nazar aaenge hamin hum

    duniya mein hai nairangi-e-taqdir tamasha

    the aabla-pa kal to hain ab taKHt-nashin hum

    uff ek dil-e-'rahbar' pe hasinon ki ye takrar

    lalchaen hamin hum ise pa jaen hamin hum

    Source:

    Payaam-e-Rehber (Pg. 20)

    • Author: Jitendra Mohan Sinha Rehber
      • Edition: 1995
      • Publisher: Karanti Gupta & Om Parkash Gupt C-1205, Rajaji Puram, Lucknow
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now