Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek hashr sa bapa hai tujhe dekhne ke baad

Zahid Al-Ehsani Loharvi

ek hashr sa bapa hai tujhe dekhne ke baad

Zahid Al-Ehsani Loharvi

MORE BYZahid Al-Ehsani Loharvi

    ik hashr bapā hai tujhe dekhne ke baad

    kyā jaane kyā huā hai tujhe dekhne ke baad

    har dard lā-davā hai tujhe dekhne ke baad

    mahsūs ye huā hai tujhe dekhne ke baad

    bas ik tirā ḳhayāl hai duniyā ko bhuul kar

    dil ko ye kyā patā hai tujhe dekhne ke baad

    rātoñ ko niiñd uḌ ga.ī din sukūñ gayā

    ye rog lag gayā hai tujhe dekhne ke baad

    ab kashtī-e-hayāt hāfiz hai bas ḳhudā

    tūfān vo uThā hai tujhe dekhne ke baad

    zālim tirī adāoñ pe sau jaan se nisār

    'zāhid' bhī mar-miTā hai tujhe dekhne ke baad

    ek hashr sa bapa hai tujhe dekhne ke baad

    kya jaane kya hua hai tujhe dekhne ke baad

    har dard la-dawa hai tujhe dekhne ke baad

    mahsus ye hua hai tujhe dekhne ke baad

    bas ek tera KHayal hai duniya ko bhul kar

    dil ko ye kya pata hai tujhe dekhne ke baad

    raaton ko nind uD gai din ka sukun gaya

    ye rog lag gaya hai tujhe dekhne ke baad

    ab kashti-e-hayat ka hafiz hai bas KHuda

    tufan wo uTha hai tujhe dekhne ke baad

    zalim teri adaon pe sau jaan se nisar

    'zahid' bhi mar-miTa hai tujhe dekhne ke baad

    Source:

    Qalam Ki Khushboo (Pg. 208)

    • Author: Zahid Al-Ehsani Loharvi
      • Publisher: Zahid Al-Ehsani Loharvi
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now