Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek intizar sa tha ab nazar mein wo bhi nahin

Mahshar Badayuni

ek intizar sa tha ab nazar mein wo bhi nahin

Mahshar Badayuni

MORE BYMahshar Badayuni

    ik intizār thā ab nazar meñ vo bhī nahīñ

    safar meñ marne fursat thī ghar meñ vo bhī nahīñ

    zarā malāl zulmat ko Tālne ke liye

    ka.ī ḳhayāl the ab to asar meñ vo bhī nahīñ

    jo sang-o-ḳhār the merī gardishoñ tak the

    maiñ rahguzar meñ nahīñ rahguzar meñ vo bhī nahīñ

    the chashm-e-bām-nagar meñ ajab tulūa ke rang

    vo ik nashāt-e-sahar thā sahar meñ vo bhī nahīñ

    kahāñ lazzat-e-bālīdgī-e-shāḳh-o-samar

    jo zā.iqa thā havā-e-shajar meñ vo bhī nahīñ

    rahe na kuchh bhī magar ab ye kaif kyā kam hai

    jis āgahī kamī thī hunar meñ vo bhī nahīñ

    ek intizar sa tha ab nazar mein wo bhi nahin

    safar mein marne ki fursat thi ghar mein wo bhi nahin

    zara malal ki zulmat ko Talne ke liye

    kai KHayal the ab to asar mein wo bhi nahin

    jo sang-o-KHar the meri hi gardishon tak the

    main rahguzar mein nahin rahguzar mein wo bhi nahin

    the chashm-e-baam-nagar mein ajab tulua ke rang

    wo ek nashat-e-sahar tha sahar mein wo bhi nahin

    kahan ki lazzat-e-baalidgi-e-shaKH-o-samar

    jo zaiqa tha hawa-e-shajar mein wo bhi nahin

    rahe na kuchh bhi magar ab ye kaif kya kam hai

    jis aagahi ki kami thi hunar mein wo bhi nahin

    Source:

    Muntakhab Ghazlein-1982 (Pg. 153)

      • Publisher: Zahid Malik
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now