ek jahan-zad chalta bana chhoD kar ai hasan-kuza-gar
ik jahāñ-zād chaltā banā chhoḌ kar ai hasan-kūzā-gar
ham khaḌe rah ga.e misl-e-dīvār-o-dar ai hasan-kūzā-gar
ham ko 'attār yūsuf ne bulvāyā thā ḳhuub samjhāyā thā
dil pe lekin rahī guftugū be-asar ai hasan-kūzā-gar
terī kūza-garī bhī huī rā.egāñ 'ishq bhī be-amāñ
apnā kār-e-junūñ bhī lagā daav par ai hasan-kūzā-gar
lamha lamha pukārā magar chup rahī soḳhta-baḳht bhī
āb-o-gil kī tarah ḳhaak thī ḳhaak par ai hasan-kūzā-gar
ai hasan-kūzā-gar dekh tū ik nazar ham hue mo'tabar
koī bhī saath apnā nahīñ hai magar ai hasan-kūzā-gar
terā ‘shahbāz-nayyar' jo ham-zād thā kaisā āzād thā
vaqt ne us ko bhī rakh diyā chaak par ai hasan-kūzā-gar
ek jahan-zad chalta bana chhoD kar ai hasan-kuza-gar
hum khaDe rah gae misl-e-diwar-o-dar ai hasan-kuza-gar
hum ko 'attar yusuf ne bulwaya tha KHub samjhaya tha
dil pe lekin rahi guftugu be-asar ai hasan-kuza-gar
teri kuza-gari bhi hui raegan 'ishq bhi be-aman
apna kar-e-junun bhi laga daw par ai hasan-kuza-gar
lamha lamha pukara magar chup rahi soKHta-baKHt bhi
aab-o-gil ki tarah KHak thi KHak par ai hasan-kuza-gar
ai hasan-kuza-gar dekh tu ek nazar hum hue mo'tabar
koi bhi sath apna nahin hai magar ai hasan-kuza-gar
tera ‘shahbaz-nayyar' jo ham-zad tha kaisa aazad tha
waqt ne us ko bhi rakh diya chaak par ai hasan-kuza-gar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.