Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek jawani ka sabab aur pur-arman hona

Sayyad Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi

ek jawani ka sabab aur pur-arman hona

Sayyad Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi

MORE BYSayyad Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi

    ik javānī sabab aur pur-armāñ honā

    saḳht mushkil hai mirī maut āsāñ honā

    maiñ kahāñ nazm kahāñ jāhil-e-mutlaq huuñ maiñ

    us qudrat hai mirā sāhib-e-dīvāñ honā

    kārgar pand-o-nasīhat nahīñ hotī us ko

    jis taqdīr meñ likkhā ho pareshāñ honā

    vaqt-e-zīnat hai mujhe un pe hañsī aatī hai

    aa.ina dekhnā aur aap hairāñ honā

    yaad aatī haiñ mujhe un vo bholī bāteñ

    ḳhud mujhī ko sunā aur ḳhud pashemāñ honā

    ne sayyād qafas par jo rakhe phuul to kyā

    maut bulbul hai dūrī-e-gulistāñ honā

    gar isī tarah haiñ ġhārat-gar-e-duniyā tire zulm

    merī nazroñ meñ hai aalam bayābāñ honā

    har rag-e-dil meñ mirī roz ḳhalish hotī hai

    is meñ mumkin hai tire tiir paikāñ honā

    ek din aane ik sū-e-adam jaane

    rasm hai ḳhalq meñ do roz mehmāñ honā

    dil ye kahtā hai mirā silsila gesū se rahā

    maiñ ne sīkhā hai pareshāñ se pareshāñ honā

    raushnī qabr pe kar de koī itnā bhī nahīñ

    qahr hai dil charāġh-e-tah-e-dāmāñ honā

    ai junūñ terī ḳhaslat hai mirī rag rag meñ

    ab kabhī mujh se na dast-o-garebāñ honā

    laash bhī terī galī se na nikalne degā

    hijr meñ dam mire sūrat-e-armāñ honā

    dil-e-betāb mirā siine se bāhar aaya

    ab to mumkin nahīñ raaz pinhāñ honā

    bolā jallād ki ham bātoñ meñ karte haiñ qatl

    ham ko sharmātā hai shamshīr uryāñ honā

    be-kasī kahtī hai vīrāna rahe is par

    jis se zāhir ho kabhī gor-e-ġharībāñ honā

    mere ahbāb ye kahte haiñ ki jāhil hai 'shafīq'

    hai bahut jā-e-ajab is ġhazal ḳhvāñ honā

    ek jawani ka sabab aur pur-arman hona

    saKHt mushkil hai meri maut ka aasan hona

    main kahan nazm kahan jahil-e-mutlaq hun main

    us ki qudrat hai mera sahib-e-diwan hona

    kargar pand-o-nasihat nahin hoti us ko

    jis ki taqdir mein likkha ho pareshan hona

    waqt-e-zinat hai mujhe un pe hansi aati hai

    aaina dekhna aur aap hi hairan hona

    yaad aati hain mujhe un ki wo bholi baaten

    KHud mujhi ko suna aur KHud hi pasheman hona

    tu ne sayyaad qafas par jo rakhe phul to kya

    maut bulbul ki hai duri-e-gulistan hona

    gar isi tarah hain ghaarat-gar-e-duniya tere zulm

    meri nazron mein hai aalam ka bayaban hona

    har rag-e-dil mein meri roz KHalish hoti hai

    is mein mumkin hai tere tir ka paikan hona

    ek din aane ka ek su-e-adam jaane ka

    rasm hai KHalq mein do roz ka mehman hona

    dil ye kahta hai mera silsila gesu se raha

    main ne sikha hai pareshan se pareshan hona

    raushni qabr pe kar de koi itna bhi nahin

    qahr hai dil ka charagh-e-tah-e-daman hona

    ai junun teri hi KHaslat hai meri rag rag mein

    ab kabhi mujh se na tu dast-o-gareban hona

    lash bhi teri gali se na nikalne dega

    hijr mein dam ka mere surat-e-arman hona

    dil-e-betab mera sine se bahar aaya

    ab to mumkin hi nahin raaz ka pinhan hona

    bola jallad ki hum baaton mein karte hain qatl

    hum ko sharmata hai shamshir ka uryan hona

    be-kasi kahti hai virana rahe is ja par

    jis se zahir ho kabhi gor-e-ghariban hona

    mere ahbab ye kahte hain ki jahil hai 'shafiq'

    hai bahut ja-e-ajab is ka ghazal KHwan hona

    Source:

    Atiyya-e-Ilahi (Pg. 25)

    • Author: Sayyad Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi
      • Publisher: Meyar Press, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now