ek kaam tak bhi humne KHud apna nahin kiya
ik kaam tak bhī ham ne ḳhud apnā nahīñ kiyā
karne ko is jahān meñ kyā kyā nahīñ kiyā
ye kaun se gunāh kī mujh ko milī sazā
maiñ ne kisī ke saath to aisā nahīñ kiyā
rab se gila maiñ maut kā kyūñkar karūñ batā
us ne to koī 'umr kā vā'da nahīñ kiyā
muḳhlis thā merā 'ishq faqat aap ke liye
yuuñ mere dil se khel ke achchhā nahīñ kiyā
pahle bhī 'ishq tum ko huā thā kisī ke saath
merā to chhoḌ us ne bhī sachchā nahīñ kiyā
chāhat thī sab ke sāmne le aa.uuñ sach tirā
tū 'ishq thā so is liye rusvā nahīñ kiyā
ek kaam tak bhi hum ne KHud apna nahin kiya
karne ko is jahan mein kya kya nahin kiya
ye kaun se gunah ki mujh ko mili saza
main ne kisi ke sath to aisa nahin kiya
rab se gila main maut ka kyunkar karun bata
us ne to koi 'umr ka wa'da nahin kiya
muKHlis tha mera 'ishq faqat aap ke liye
yun mere dil se khel ke achchha nahin kiya
pahle bhi 'ishq tum ko hua tha kisi ke sath
mera to chhoD us ne bhi sachcha nahin kiya
chahat thi sab ke samne le aaun sach tera
tu 'ishq tha so is liye ruswa nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.