Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek ke baad ek aziyyat ke salasil mein paDa

Aziz Akhtar

ek ke baad ek aziyyat ke salasil mein paDa

Aziz Akhtar

MORE BYAziz Akhtar

    ik ke baa'd ek aziyyat ke salāsil meñ paḌā

    haa.e kyūñkar maiñ mohabbat ke masā.il meñ paḌā

    aisā vīrān thā siina ki nikalne ko thī jaan

    aur phir mere sanam terā qadam dil meñ paḌā

    dard dard hameñ de ke gayā hai yā-rab

    sābiqa jis se bhī tujh dahr mahfil meñ paḌā

    aks vo hai ki jo mahtāb ke ruḳh meñ jhamke

    us kyā hove kavākib jo jhilmil meñ paḌā

    ishq raah pe avval to chalā koī nahīñ

    chal paḌā jo milā murda rah-e-manzil meñ paḌā

    din dikheñge nahīñ ḳhushiyoñ ke kabhī mujh ko 'azīz'

    aks mujh ġham hai ik dīda-e-qātil meñ paḌā

    ek ke ba'd ek aziyyat ke salasil mein paDa

    hae kyunkar main mohabbat ke masail mein paDa

    aisa viran tha sina ki nikalne ko thi jaan

    aur phir mere sanam tera qadam dil mein paDa

    dard hi dard hamein de ke gaya hai ya-rab

    sabiqa jis se bhi tujh dahr ki mahfil mein paDa

    aks wo hai ki jo mahtab ke ruKH mein jhamke

    us ka kya howe kawakib ki jo jhilmil mein paDa

    ishq ki rah pe awwal to chala koi nahin

    chal paDa jo mila murda rah-e-manzil mein paDa

    din dikhenge nahin KHushiyon ke kabhi mujh ko 'aziz'

    aks mujh gham ka hai ek dida-e-qatil mein paDa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now