Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek KHwab-e-atishin ka wo mahram sa rah gaya

Aziz Hamid Madni

ek KHwab-e-atishin ka wo mahram sa rah gaya

Aziz Hamid Madni

MORE BYAziz Hamid Madni

    ik ḳhvāb-e-ātishīñ vo mahram rah gayā

    dīvār-o-dar meñ sho.ala-e-barham rah gayā

    sher-e-vatan ke pyāle pe thiiñ kal ziyāfateñ

    aayā jo tā-ba-lab to faqat sam rah gayā

    maanā vafā barā.e-vafā ittifāq thī

    tum rahā koī na koī ham rah gayā

    ik lā-ta.alluqī fazā darmiyāñ rahī

    jab do diloñ meñ farq bahut kam rah gayā

    us sarv-qad tāb-o-mulā.em-ruḳhī raaz

    isyāñ shab meñ dīda-e-pur-nam rah gayā

    āḳhir huī bahār magar rañg-e-gul ḳhvāb

    dil meñ duā nigāh meñ shabnam rah gayā

    ik us ke rañg-e-ruḳh junūñ-sāz chhūT se

    is zindagī meñ ḳhvāb aalam rah gayā

    ek KHwab-e-atishin ka wo mahram sa rah gaya

    diwar-o-dar mein shoala-e-barham sa rah gaya

    sher-e-watan ke pyale pe thin kal ziyafaten

    aaya jo ta-ba-lab to faqat sam sa rah gaya

    mana wafa barae-wafa ittifaq thi

    tum sa raha koi na koi hum sa rah gaya

    ek la-talluqi ki faza darmiyan rahi

    jab do dilon mein farq bahut kam sa rah gaya

    us sarw-qad ki tab-o-mulaem-ruKHi ka raaz

    isyan ki shab mein dida-e-pur-nam sa rah gaya

    aaKHir hui bahaar magar rang-e-gul ka KHwab

    dil mein dua nigah mein shabnam sa rah gaya

    ek us ke rang-e-ruKH ki junun-saz chhuT se

    is zindagi mein KHwab ka aalam sa rah gaya

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 260)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now