aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek makan aur bulandi pe banane na diya

Manzar Bhopali

ek makan aur bulandi pe banane na diya

Manzar Bhopali

MORE BYManzar Bhopali

    ik makāñ aur bulandī pe banāne na diyā

    ham ko parvāz mauqa.a havā ne na diyā

    ḳhudā ban ke miTā.egā hameñ ik din

    sar tire dar pe isī Dar ne jhukāne na diyā

    muttahid hone jazba thā sabhī meñ lekin

    muttahid hone mauqa havā ne na diyā

    tum pe chhā jaate shajar bante jo nanhe paude

    tum ne achchhā kiyā paañv jamāne na diyā

    vo to āmāda thā bandoñ shikāyat sun kar

    kuchh farishtoñ ne zamīñ par use aane na diyā

    aap Darte haiñ ki khul jaa.e na aslī chehra

    is liye shahr ko ā.īna banāne na diyā

    ek makan aur bulandi pe banane na diya

    hum ko parwaz ka mauqa hi hawa ne na diya

    tu KHuda ban ke miTaega hamein hi ek din

    sar tere dar pe isi Dar ne jhukane na diya

    muttahid hone ka jazba tha sabhi mein lekin

    muttahid hone ka mauqa hi hawa ne na diya

    tum pe chha jate shajar bante jo nanhe paude

    tum ne achchha hi kiya panw jamane na diya

    wo to aamada tha bandon ki shikayat sun kar

    kuchh farishton ne zamin par use aane na diya

    aap Darte hain ki khul jae na asli chehra

    is liye shahr ko aaina banane na diya

    Source:

    Zindagi (Pg. 57)

    • Author: Manzar Bhopali
      • Edition: 1993
      • Publisher: Nasir Publicans, Urdu Bazar Krachi (P.K.)
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now